Posts

Showing posts with the label Fruit Health Benefits

Lychee Ke Fawaid - Litchi Benefits in Urdu

Image
Lychee (Litchi) Khane Ke Fawaid: Litchi benefits in urdu hindi L ychee sard tar mizaj rakhne wala khush zayka phal hai. Kam hujam wale, Khobsorat aur lateef asar rakhne wale phalon mein shumar hota hai. Dekhne mein to yeh phal aik mamoli sa phal dekhaye deta hai lekin zayke ke aitbar se apni misal ap hai. Lychee ko thori thori mikdar mein khana chahye. Related Video: What Happens In Your Body If You Eat Lychee Fruit Daily Lychee ki bari khobi yeh hai keh yeh khon ki mikdar mein izafa karti hai. Es ke ilawa payas ko bhi bujati hai. Dil aur damag ko mazboot tar karti hai. Lychee ko kabi kabar khana he behter hai kuen ke yeh dair se hazm hoti hai. Note: Es ka rozana istemal kesi tarah bhi munasib nahin hai. Related Video: Lychee Ke Fawaid Lychee Ke Faide Lychee Health Benefits In Urdu

Ganne Ke Ras Ke Fayde - Sugar Cane Juice Benefits in Urdu/Hindi

Image
Ganne (Sugar Cane) Ke Ras Ke Fawaid:  Sugar Cane Juice Benefits in Urdu/Hindi G anne ke ras ko yarkan ke marz mein buhat zayda ahmiat hasil hai. Pait mein aphara, kabz, gaz yahan tak ke zakham maida ki shikayat mein bhi ganne ka ras pene se buhat mufeed result hasil hote hain. Es ke sath sath garmi ke asrat ka shikar aur pathri ke mareezo ke lye bhi tibi mahreen ne ganne ke ras ko mufeed bataya hai. Jab buhat zayda dhoop jisam par parh rahi ho ya yarkan buhat shidat ke sath ho gya ho to sugar cane juice skon bakhashne aur marz se nijat dene ke sath sath mareez ki barhti hoe kamzori ko door karta aur quwat bakhashta hai. Kuenke es mein calcium aur folad ki kafi zayda mikdar hone ke ilawa phosphorus bhi hota hai. Esi waja se yarkan ke mareezon ko batore khas ganne ka ras pene ka mashwara dea jata hai. Mahreen ke tujrabe ke mutabik ganne ko rat ke waqt kesi khuli jaga par rakh dein aur subha nehar munh es ka ras peene se chand din mein yarkan mein afaka hojata hai. Yark

Kela Ke Fayde - Banana Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kela (Banana) Khane Ke Fawaid: Banana Benefits in Urdu/Hindi K ela sard tar mizaj ka hamil phal hai. Ghizait parwari aur lazeez tareen phalon mein banana ko shumar kia jata hai. Banana ko aik munfrid hasiat hasil hai. Yahi sabeb hai keh chote bachon se le kar barhe borhon tak sab he esey barhe shook se khate hain. Kela bhi kaye kisam ka hota hai. Barsgeer pako hind ke mukhtalif makamat par peda hone wala kela apni apni alakaye nisbat yani zameen ki taseer ke lehaz se mukhtalif size aur zayde wala hota hai. Misal ke toor par ab tak hari chal ka kela tamam barsgeer mein sab se behter kela samja jata tha. Lekin ab Pakistan ka kela zayda aur taseer mein agar es se behter nahin to kesi lehaz se kamtar bhi nahin hai. Intehayee lazeez barhe size wala aur takat bakhash hota hai. Sarhad ka kela kesi kader dair hazm aur lays dar hota hai. Kolkata ki tarf jo kela paya jata hai. Wo size ke lehaz se chota hota hai. Naiz kesi kadr methas wala bhi magar yeh kela sangr'hani

Kheera Ke Fayde - Cucumber Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kheera (Cucumber) Khane Ke Fawaid: Cucumber Benefits in Urdu/Hindi K heera (cucumber) bhi kakdi ki kism ka sard tar phal hai. Cucumber kabz kusha aur garmi ke buhat se amraz mein mufeed hai. Payas, yarkan, peshab ki jaln, peshab ka ruk ruk kar ana wagaira shikayat door karta hai. Es ko cheel kar aur kali mirch, namk mila kar khana chahye. Aik adh kheere se zayda mat khayn. Es ke baad pani peene se haize ka khatra hai. Kheere ka barta bhi mufeed hai.

Falsa Ke Fayde - Black Currant Benefits in Urdu/Hindi

Image
Falsa (Black Currant) Ke Fawaid:  Black currant benefits in urdu/hindi F alsa barsgeer ka phal hai. Yeh mantaka hara ka phal dar poda hai. Es ki do kismain hain. Aik onche podon wali jo khudro hai aur es ka phal zayka dar nahin hota. Dosri kisam chote podon wali jiska phal chota aur gol hota hai. Aur zayke dar hota hai. Falsa (black currant) mosam sarma ka phal hai. Jo Satah samander se 3000 foot ki bulandi par kashat ho sakta hai. Es mukami zuban mein falsa shereni aur falsa shakri kaha jata hai. Sayhi mayl surakh hota hai. Es ke ajza mein folad namkiat aur vitamin C shamil hain. Falsa (Black Currant) Tibi Khawas aur Elaj: False ka mizaj kadre sard aur khushak hai. Eska istemal jisam mein saf khon peda karta hai. Hukma ke mutabik aik pou false mein aik chapati ke braber ghizaet hoti hai. Mosam teez garam ho es ki waja se dil par gabrahat horhi ho to aese mein takreeban 50 garam falsa rozana istemal kar lia jaye to es takleef se nijat mil jati hai. Es ke istema

Shahtoot Ke Fawaid - Mulberry Benefits in Urdu/Hindi

Image
Shahtoot (Mulberry) Ke Faide: Mulberry benefits in urdu/hindi S hahtoot aik mash'hoor meva hai. Yeh garam tar aur kabz kusha hota hai. Hazme ko quwat puhnchata hai aur khon peda karta hai. Payas aur garmi ko door karta hai. Shahtoot ka sharbat bukhar mein thandak deta hai aur balgam ko kharij karta hai. Shahtoot (mulberry) ka taza ras nikal kar pia jaye to wo nasirf garmi mein thandak puhnchata hai balke shiddat payas, khushak khansi aur gale dukhne ke lye bhi behad faidamand hai. Shahtoot nazla, zukam ke lye bhi mufeed hai. Pait ke keere halak karta hai.

Shaker Qandi Ke Fawaid - Sweet Potato Benefits in Urdu/Hindi

Image
Shaker Qandi (Sweet Potato) Ke Fawaid Sweet Potato Benefits in Urdu/Hindi S haker qandi garam tar aur kabiz hai. Es mein neshasta ki mikdar sab ajza se zayda hoti hai. Es lye mehnat mazdori karne walon ke lye takat bakhash ghiza hai. Phephre ko takat deti hai aur jisam ko mazboot banati hai. Dair se hazim hoti hai. Kamzoor maide wale hazrat es ko khane se gureeze karain. Es ke khane ke baad thori c sonf chabaa lena faida mand hai.

Sharifa Ke Fayde - Custard Apple Benefits in Urdu Hindi

Image
Sharifa (Custard Apple) Ke Fawaid: Custard Apple Benefits in Urdu Hindi S harifa aik garam tar phal hai. Dil aur damag ko takat bakhshta hai aur manny ko garha karta hai.

Singhara Ke Fayde - Water Chestnut Benefits in Urdu/Hindi

Image
Singhara (Water Chestnut) Ke Fawaid:  Water Chestnut benefits in urdu hindi K hushak singhara sard khushak aur taza singhara sard tar mizaj ka hamil hai. Singhara mosam sarma ki aik ajeeb asar aur buhat c sifaat wali nimat hai aur buhat zayda ghizaye safaat ka hamil hai. Maide ke sath jisam ke baz dosre makhsoos azaa ko bhi takwiat deta hai. Es ke makhsoos aur numayan toor par tibi khobian darj zail hain. Singhara Ke Tibi Khawas: Munh se khon ka ana band karta hai. Dil ki jaln ko door karta hai. Jaryan ke mareezon ke lye aik intehaye mufeed cheez hai. Sokha howa singhara daad ke uper lagane se khaterkhah faida puhnchata hai. Jin logon ko halq ki khushki ki shekayt hoti hai en ke lye buhat khas cheez hai. Payas ki shidat ko rokne mein jado asar hai. Badan ko makool had tak mota sehat mand karta hai. Gharm mizaj walon ki quwat baah ko mazboot karta hai aur es mein khaterkhah izafa karta hai. Madaye toleed mein izafa karne ke sath sath esey gharha bhi karta hai. J

Kino ya Malta Ke Fayde - Orange Benefits in Urdu/Hindi

Image
Keno Ya Malta Ke Fawaid: orange benefits in urdu hindi K ino ya malta qudrat ke umda tahayf mein se aik hai. Yeh ras dar aur tursh phalon mein buhat ahmiat ka hamil hai. Keno mukhtlif tareekon se pori dunia mein istemal kea jata hai. Umooman log esey khane ke bad istemal karte hain. Es ke ilawa Keno ya malta ke sharbat, squish, jam aur murabbe wagaira bhi milte hain. Malta ka asal watan junobi cheen hai. Esey ibtada mein junobi hindostan mein mutarif karaya gya. Mahreen ke tajzeye ke mutabik malta mein protein nahin hota lekin aik keno mein aik roti ke brabar takat hoti hai. Ye phal jitne meethe hote hain, itni he en mein ghizait paye jati hai. Adha kilo malte mein 189 calories hoti hain. Kehte hain keh adhe keno mein itni he takat hoti hai. Jitni 400 garam dodh mein hoti hai. Malta mein namkiat khasosan chona aur loha buhat hota hai jo khon ban'ne ke lye buhat zaroori hai. Es mein vitamin A,B aur C ki kafi bari mikdar paye jati hai. Malta mein ye khasosi

Sarda Ke Fayde - Musk Melon Benefits in Urdu/Hindi

Image
Sarda (Muskmelon) Ke Fawaid: Musk melon benefits in urdu hindi S arda kharboze ki kisam ka phal hai. Qudrati tor par muatdal tar, dilo damag, gurde aur misane ko takwiat puhnchata hai. Jisam mein ratobat barh'hata hai. Peshab awar aur peshab ki jaln mein soodmand hai.

Zaitoon Ke Fawaid - Olive Benefits in Urdu/Hindi

Image
Zaitoon (Olive) Ke Faide: Olive benefits in urdu hindi Z aitoon wo mubarik phal hai jis ka zikar Quran Mujeed mein aya hai. Zaitoon ko arbi mein Zait aur angreezi franseesi mein olive kaha jata hai. Yeh asia ka darakhat hai. Magar bahaira room aur neem garam khiton mein bakasrat ugta hai. Es ke tail ki khasosiat ye hai keh ye arsa daraz tak khushak nahin hota aur na he badboo deta hai. Zaitoon ka tail jild, pait, pathon, joron aur sans ke amraz ke lye behad mufeed hai. Sheer khawar bachon ki es ke tail se malish ki jaye to sehat buhat umda rehti hai. Khawateen apne chehre ki rangat aur jild ke lye be shumar creams aur lotions istemal karti hain. Jin ka nuqsan bhi hota hai. Zaitoon ka tail ap ki jild ke lye qudrarti lotion hai. Adhi chamchi zaitonn ka tail lejeye. Es mein do chamch chakotre ka ras daleye aur thori c pesi hoe dar chenei shamil kar ke ameeeza tayar kar lejeye. Es mixture ko das pandra mint tak chehre par lagaye rakhain. Baad mein taza pani se dho lein. Ha

Khubani Ke Fawaid - Apricot Benefits in Urdu/Hindi

Image
Khubani (Apricot) Ke Faide: Apricot benefits in urdu hindi K hobani (Apricot) mizaj ke aitbar se garam hai. Kabz Kusha hai. Jisam ko takat bakhashti hai. Payas ki shiddat, bukhar, bawaseer aur anton ke bemarion ko door karti hai. Pait ke kere halak karti hai. Khati khobani istemal nahin karni chahye kuenke aphara peda karti hai.

Kharboza Ke Fayde - Melon Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kharboza (Melon) Ke Fawaid: melon benefits in urdu hindi K harboza aik garam tar aur farhat bakhash phal hai. Yarqan, Jalander, Pathri aur kabz ko door karta hai. Ruke howe peshab ko kholta hai. Paseena lata hai. Aurat ka doodh barh'hata hai. Kharbooza ka zayda istemal garmi karta hai. Es ke beej thande hote hain. En ka tail bhi nikala jata hai. Jise doodh mein mila kar pete hain. Es mein ghezait hoti hai. Jalan aur peshab ke ruk jane mein buhat mufeed hai.

Chakotra Ke Faide - Grapefruit Benefits in Urdu/Hindi

Image
Chakotra (Grape Fruit) Ke Fawaid: Grapefruit benefits in urdu C hakotra aik sard tar meva hai. Garam mizaj wale logon ko mufeed hai. Payas aur thakan ko door karta hai. Bhok lagata hai aur farhat bakhashta hai. Garmi ke zukam ko rafa karta hai. Jaryan mein faida bakhash hai.

Jamun Ke Fayde - Black Plum Benefits in Urdu/Hindi

Image
Jamun (Black Plum) Ke Fayde: Black plum benefits in urdu J amun mosam garma ka aik aham phal hai. Es ka mizaj khushak sard hai. Yeh vitamin C ka baish baha khizana hai. Aadh kilo jamun mein aik waqt ke khane jitni ghizayt hoti hai. Cytrac aur sinc acid ke ajza ki jamun mein mojodgi ne es pha ko maida, anton ki jalan, khirash aur kamzori dor kar k bhok barh'hane wali be misal ghiza bana dea hai. Es mein payas ki shidat aur khon ki garmi thandi karne ki qudrati taseer mojod hai. Zia betas ke mareezon ke lye jamun ka istemal nehayt mufeed hai. Es ka istemal zia betas ke mareezon mein khon mein shaker ki mikdar ko barhne nahin deta hai. Yeh safra ka zoor torta hai. Maida ko takat deta hai. Jigar ke lye fayda mand hai. Jisam mein nia khon peda karta hai. Garam mizaj rakhne walon ke lye mufeed hai. Jamun ko khordani namk laga kar khana chahye. Jamun khane ke foran bad pani pena muzere sehat hai. Safravi daston ko band karta hai. Quwat baah ko harkat deta hai. Khon aur ga

Tarbooz Ke Fayde - Watermelon Benefits in Urdu/Hindi

Image
Tarbooz (Watermelon) Ke Fawaid: Watermelon benefits in urdu G hizaye mahreen es bat par mutfiq hain keh tarbooz mosam garma ki shidat aur lo ke asrat se mehfooz rakhta hai. Tarbooz peshab awar hai. Ye maide ki sozish aur peshab ki jaln ko khatim karta hai. Safravi shikayat mein khas toor par mufeed hai. Tarbooz ko khana khane se foran pehle ya foran bad istemal nahin karna chahye. Khana khane ke foran bad es ka khana baz aukat sakhat muzer ho jata hai. Es ki wajah yeh hai keh khana maide mein kuch dair parha rehta hai aur rafta rafta agay barhta howa hazmo jazb hota rehta hai. Jab keh tarbooz qudrati glucose hai jo nehayt tezi se hazmo jazb hota hai. Lekin es ke hazmo jazb hone mein jab kuch dair pehle khaya howa khana rakawat banta hai aur esey tezi se hazmo jazb nahin hone deta to maide aur anton mein fisad barpa ho jata hai. Jo bad hazmi, aphare aur daston ki shikayt peda kar sakta hai. Es lye tarbooz khana khane ke 2, 3 gante bad khana chahye. Tarbooz Ki Tebi Kha

Papita Ke Fayde - Papaya Benefits in Urdu/Hindi

Image
Papita (Papaya) Ke Fawaid in Urdu & Hindi: Papaya Benefits in urdu hindi P apita province Sindh mein buhat zayda paya jata hai. Es ke lye garm martoob abo hawa mufeed hoti hai. Zarkhaiz zameen mein peda hota hai. March, April mein bakhobi phal deta hai. Es ki iksam mein Solo, Balwateam, tee, Nair child aur kemi, hytes gord aur Pakistan ke baaz hisson mein esey erind kharboza bhi kaha jata hai. Es mein shakar aur vitamin C wafer mikdar mein hote hain. Zardi mayl aur sabaz rang mein peda hota hai. Papita Ke Tebi Khawas Aur Elaj: Es ka mizaj garm tar hota hai. Garm mizaj logon ko nahin khana chahye. Maide ko quwat deta hai. Khana hazam karta hai aur bhook lagata hai. Maida ki reeh ko nikalta hai aur pait ke kere khatm karta hai. Peshab awar hai. Mesane ki pathri ko torta hai. Es ke kache phal se jo doodh niklta hai. Esey dard par lagaya jaye to dard ko bilkul khatm kar deta hai. Es ko khushak kar ke safoor mila kar agar goshat par chirka jaye to goshat jal

Bair Ke Fawaid - Jujube Benefits in Urdu/Hindi

Image
Bair (Jujube) Ke Faide Jujube benefits in urdu hindi Y eh aik marghob phal hai jise tesre darje ke phalon mein shamil kea jata hai. Bair ka mizaj sard khushak hai. Bair ke bare bare darakhat bhi hote hain aur pastah kad jharian bhi aur pewand bair ke darakhat bhi. Lekin es jagah hum jis bair ka zikar kar rahe hain. Wo chote size ka gol aur anaab ki tarah surakh rang wala bair hai. Jise bache borhey sabi bari ragbat se aur maze le le kar khate hain. Dehat aur janglon wagaira mein es ke podey aam hote hain. Bair ka shumar sasti kisam ki gizoun mein hota hai. Agar thore se bhi yani chatank adh pou mikdar mein bhi bair khaye jayn to badan ke lye nehayt mufeed giza ka kam dete hain. Magar shart yeh hai keh bair kache aur turash na hon. Hamesha methay aur pake howe bair khane chahyn aur bair khane ke bad en ke uper pani har giz nahin peena chahye. Kuenke es tarah na sirf es ki faida bakhash taseer he mutasar hoti hai balke munh ka zayka badalne ke sath sath quwat hazma bhi m

Bahi Ke Faide - Quince Benefits in Urdu/Hindi - Safajal Ke Fawaid

Image
Quince benefits in urdu