Posts

Showing posts with the label Vegetables Benefits

Kheera Ke Fayde - Cucumber Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kheera (Cucumber) Khane Ke Fawaid: Cucumber Benefits in Urdu/Hindi K heera (cucumber) bhi kakdi ki kism ka sard tar phal hai. Cucumber kabz kusha aur garmi ke buhat se amraz mein mufeed hai. Payas, yarkan, peshab ki jaln, peshab ka ruk ruk kar ana wagaira shikayat door karta hai. Es ko cheel kar aur kali mirch, namk mila kar khana chahye. Aik adh kheere se zayda mat khayn. Es ke baad pani peene se haize ka khatra hai. Kheere ka barta bhi mufeed hai.

Paan Khane Ke Fayde Aur Nuksan - Betel Leaf Benefits in Urdu/Hindi

Image
Pan (Betel Leaf) Ke Fawaid Betel leaf benefits in urdu hindi Y eh aik aesi chez hai jo na phalon mein shumar hoti hai aur na sabzion mein. Phir bhi eska istemal sab se zayda hota hai. Esey khane se insan es ka aadi ho kar rah jata hai. Magar yeh kuch faide bhi deta hai. Yeh aik bail ka patta hai. Jo 12, 13 kismon mein dastiab hai. Paan ke patte ke ajza mein tang acid, chloroform aur vitamin C shamil hote hain. Chona, kathaa aur sapari ke sath es ka istemal kea jata hai. Aur kuch log es mein tambaco rakh kar esey nasha awar bana kar bhi khate hain. Paan Ke Tebi Khawas aur Elaj: Paan ka patta garm khushak mizaj ka hamil hota hai. Esey nehar munh aur choti elaichi ke bagair khana durast nahin hai. Garm mizaj wale logon ko paan khana youn bhi durast nahin hai. Kuenke en ke mizaj ke barakas hai. Paan balgam ko kharij karta hai. Tabiat mein farhat deta hai. Tanafas ke nizam ko durast karta hai. Munh ki badboo ko khatim karta hai. Maida ko takat deta hai. Maida ki ...