Chohara Ke Fayde - Dry Dates Benefits in Urdu/Hindi
Chohara (Dry Dates) Ke Fawaid: Dry Dates Benefits in Urdu/Hindi C hohara aik achi kisam ki khajoor, Dodh ki lassi kadre ghee mein ubal kar tayar kea jata hai. Es ki tabiat garam khushak hai. Chohara badan ko mota karta hai. Saaf khon peda karta hai. Phephre aur seene ko takat ata karta hai. Sardi, badi aur balgam ke amraz mein soodmand hai. Adrangh, lakwa, pathri aur peeth ke dard ko door karta hai. Baah ke lye faida mand hai. 2, 3 chohare dodh mein ubal kar istemal karne se takat barhti aur kami baah door ho kar quwate mardi mein izafa karti hai. Chonke garmi peda karta hai es lye aik sath 5, 6 se zayda nahin khani chahyn.