Akhrot Ke Fayde - Walnut Benefits in Urdu/Hindi

Akhrot Ke Fawaid:

walnet benefits in urdu/hindi
Akhrot Ke Faide - Walnut Benefits in Urdu
Sardeon kay agaz kay sath he khushak meva-jaat ka istemal shoro ho jata hai. Yeh meva-jaat quwat bakhash giza kay toor par istemal keye jate hain.

En se jisam mein takat aur hararat ka ahsas hota hai aur mosam sarma ki shidat ka muqabla kea jata hai.


Aese he khushak meva-jaat mein aik akhrot hai. Jiska magaz barhey shok se istemal kea jata hai keh ye buhat tawanaye bakhash aur mufeed meva hia.


Khushak meva-jaat aur en kay magaz zindagi ke ibtadayee door mein batoore-giza bhi istemal hote rahe hain.


Magar jadeed tehqeeq ki roshni mein en ki afadiat ka andaza hone se enka istemal phir se ho rha hai.



Akhrot Ke Tabi Khawas aur Elaj:

Aik tehqeeq ke mutabik magziat mein 13 se 20 fesad lehmiat, 50 se 60 fesad rogniat, 9 se 12 fesad nishasta, 3 se 5 fesad calories aur kaye dosri madniat ki miqdar aik fesad tak mojod hoti hai.

Tehqeeq ke mutabik 100 gram magziat se 600 gizaye harare peda hote hain. Sabzion ke bar-akas magziat mein rogan ki miqdar buhat ziyada hoti hai.

Akhrot ke Magziat
Akhrot ke magziat

Balke en ki mojmoye wazan ke nisaf braber tail hota hia. En ki rogan peda karne ki salahiat he se tawanaye peda karne ki salahiat barhti hai.


Akhrot mosam sarma mein istemal hone wale khushak meva-jaat mien apni gizaye afadiat ke hamil se bari ahmiat ka hamil hai.


Sard barfani ilaqon ke log sard mosam ki shidat ka muqabla karne ke lye eska ba-kasrat istemal karte hian.


Aur medani elakon ke logon mein bhi yeh ragbat se istemal hota hai.


Apni gezaye hararon ke sabab mosam sarma mein jisam mein takat aur hararat ka ahsas delata hia.


Yahi wajah hai keh giza aur dawa dono toor par istemal hota hai. Akhrot darasil aik darakhat ka phal hai.


Pakistan mein es kay darakhat Balochistan, Murree aur Azad Kashmir ke ilakon mein zayda hain.


Jab keh Iran aur Afganistan mein bhi es ke darakhat kasrat se paye jate hain.


Akhrot kay darakhat ki lambayee amoman 120 foot tak hoti hai aur gulayee 12 se 30 foot tak. 30 sal bad es darakhat mein phal ane lagta hai.

Walnut plant
Akhrot Ka Darakhat

Lekin baaz-okat 40 sal se zayda arsa lag jata hai. Jab es ka phal akhata kar liya jata hai to esey istemal nahin kea jata kuenke es waqt es mein se dhood jesi ratobat niklati hai.


3 maah bad ye ratobat jam kar magaz ban jati hai to esey magaz akhrot ka nam dea jata hia aur phir esey mosam sarma mein khushak meve ke toor par gizayt ke liye istemal kea jata hia.


wese to aam tor par akhrot ka maghaz he istemal hota hai magar baaz etbayee karam es ka chilka, pattey aur jarh wagaira bhi mukhtalif amraz ke lye dawa ke toor par istemal karte hian.



Akhrot ke magaz ka mukhtalif amraz mein istemal ka tareeka darj-zail hai.


Takwiat damag aur asaab ke lye magaz akhrot dimag aur asaab ko tawanaye bakhashta hai.


2 adad akhrot ka magaz nikal kar mavaiz-munakka ke sath pees kar rozana subha nehar munh doodh ke sath istemal karna mufeed hai.


Es tarah dimag aur asab ko takat milti hai. Es se sar dard aur yadashat behter hoti hai aur aam jismani kamzoori door hoti hai.

Walnut for brain health
Akhrot damagi sehat k lye

Chehre ki shayon ke lye akhrot ka magaz jo purana hojaye chuba kar kharab zakhmon aur masoor ke lye mufeed hai.


Taza magaz akhrot ka laip karne se chehre ki jhayon ko faida hota hai. Falij aur laqwa ke ilaj ke lye magaz akhrot apni garm taseer ke sabab sarad amraz mein mufeed hai.


Yahi wajah hai keh shadeed sardi se hone wale amraz maslan joron ke darad, falij, laqwa wagaira mein faida deta hia.


Akhrot aur kala-zeera ham wazan pees kar shahed mila kar jisam par malish karain aur phir chit leta kar uper lehaf urha dein. Yahan tak keh paseena ajaye. Phir jisam ko khushak kar ke sard hawa se bacha kar alag kamre mein rehne ki takeed karain.


Taiz thanda pani mat pene dein. Chand dino mein behtri hojaye gi.


Bad hazmi aur nizam e hazam ki islah ke lye akhrot ka magaz pees kar naf par laip karain. Maroot ruk jate hian.


Magaz akhrot kuch arsa sirka mein bigo kar rakhne ke bad istemal karain to maidey ki kamzori door hojati hai.


Chonkeh magaz akhrot dair se hazam hota hai es lye esey kam miqdar mein istemal karna chahye.


Phir es mein tail bhi zayda hota hai. Es lye jald kharab hojata hai. Chuna-cheh zayda arsa tak rakhne ke bad istemal nahin karna chahye.



Akhrot Ke Magaz Ka Murabba:

Walnut jam
Akhrot ka murabba
Yeh murabba sard mizaj walon ke lye buhat mufeed hai. Sard amraz mein jaldi afaqa hota hai. Aur jigar ki brodat khatam hojati hai.

Es ki tayri ka tareeka yeh hai keh akhrot ka taza magaz le kar uper ka bareek chilka hata kar matti ki handia mein bhar kar uper tak pani bhar dein.


Phir namak dal kar 24 gante bad nikal kar pani se saf kar lein aur saye mein khushak kar ke shahed ka sheera itna bhar dein keh magaz es ke neche doob jayn. Phir esey martban mein rakh kar istemal karain.



Akhrot Ke Chilke:

Taza akhrot ke chilke jo sabaz hote hian utar kar manjan ke toor par istemal karain. Daant saf aur chamakdar aur masoorhey mazboot ho jayn gay.

Khon ana band hojata hai. Hamare han pahari maqamat se taza akhrot la kar buzurg khawateen ko tuhfe mein dete hain.


Jo wo danto ko saf karne mein istemal karte hian. Payoria se bachne ke lye akhrot ki jarh ki miswaak bhi mufeed hai.


Es ke ilawa akhrot ke beroni chilke ko pani mein josh de kar es mein thora sa namak mila kar kulli karne se faida hota hai.



Bawaseer Ke Masson Ke Lye:

Akhrot ki jarh ko zeton ke tail mein itna josh dein keh gal jaye phir bawaseer ke mason par laga dein. Jald afaka hoga.


Khansi Aur Gale Ke Amraz Ke Lye:

Bhune hoe magaz akhrot ke sath 2 gram, 7 Malathi, Magaz Kado 5 adad aur goondh keekar 3 garam mila kar shahed ke sath istemal karne se khansi aur gale ke amraz mein fayda hota hia.


Akhroot Ka Tail:

walnut oil in urdu
Akhrot ka Tail
Akhrot mein rogan ki miqdar baki khushak meva-jaat se zayda hoti hai. Yeh kafi garam hota hai. Es ki malish se dorane khon taiz hojata hia.

Jis se pathon mein mosam sarma mein hone wale dard ko fori faida hota hai. Aur yeh falij mein bhi mufeed hai.


Akhrot aur zeton ka tail ham wazan mila kar sar mein lagane se juwoun ka khatma ho jata hai.



Seah (Kale) Baal:

Balon ki seahe ko qaym rakhne aur safaid hote hoe balon ko rokne ke lye ye tadbeer mufeed hai.

Akhrot ka sabaz chilka 15 garam, phatkari 2 garam aur banola ka tail 250 gram le lein. Banole ke tail ko taam cheeni ke bartan mein dal kar es mein akhrot ke chilke aur phatkari dal kar halki aanch par itna garam karain keh nami urh kar mukam'mal khushak hojaye yani seah hojaye.


Es ke bad chaan kar istemal kar lein jaldi faida ho ga.