Skip to main content
Badam Ke Fayde - Almond Benefits in Urdu/Hindi
Badam (Almond) Ke Fawaid
|
almonds benefits in urdu |
Badam ka mizaj garam tar hai. Lekin es ke magaz ko pani mein bigo kar chilka utara jaye to mutdal tar ho jata hai.
- Azaye Raesa ke lye mufeed hai.
- Jismani o damagi quwat barh'hata hai.
- Quwate hafiza, damag aur ankhon ke lye behtreen chez hai.
- Khushak khansi ko door karta hai.
- Misane ke amraz ke lye mufeed hai.
- Khon aur charbi peda kar ke jisam ko mota, manney ko garha aur quwate marvi mein izafa karta hai.
- Rogan badam kabaz kusha hai.
- Dodh mein mila kar pene se kabaz ki shekayt rafaa karta hai.
- Maide, damag aur jigar ko quwat bakhashta hai.
- Khushki ko door karta hai.