Paan Khane Ke Fayde Aur Nuksan - Betel Leaf Benefits in Urdu/Hindi

Pan (Betel Leaf) Ke Fawaid

Betel leaf benefits in urdu hindi
Betel leaf benefits in urdu hindi
Yeh aik aesi chez hai jo na phalon mein shumar hoti hai aur na sabzion mein. Phir bhi eska istemal sab se zayda hota hai.

Esey khane se insan es ka aadi ho kar rah jata hai. Magar yeh kuch faide bhi deta hai. Yeh aik bail ka patta hai. Jo 12, 13 kismon mein dastiab hai.

Paan ke patte ke ajza mein tang acid, chloroform aur vitamin C shamil hote hain.

Chona, kathaa aur sapari ke sath es ka istemal kea jata hai. Aur kuch log es mein tambaco rakh kar esey nasha awar bana kar bhi khate hain.

Paan Ke Tebi Khawas aur Elaj:

Paan ka patta garm khushak mizaj ka hamil hota hai. Esey nehar munh aur choti elaichi ke bagair khana durast nahin hai.

Garm mizaj wale logon ko paan khana youn bhi durast nahin hai. Kuenke en ke mizaj ke barakas hai.


  1. Paan balgam ko kharij karta hai.
  2. Tabiat mein farhat deta hai.
  3. Tanafas ke nizam ko durast karta hai.
  4. Munh ki badboo ko khatim karta hai.
  5. Maida ko takat deta hai. Maida ki reeh ko kharij karta hai.
  6. Munh ki khushki ko door karta hai.
  7. Masooron ko takat deta hai.
  8. Jigar ke lye faida bakhash hai.
  9. Rang ko nikharta hai.
  10. Payas ki taskeen ka zaria hai.
  11. Sozish gurda ki taskeen karta hai.
  12. Maida aur jigar ke lye behad mufeed hai.
  13. Warm jigar, warm khasia aur galay ke dard ke lye pan ko tail se laip kar gharm kar ke warm wali jaga par bandhne se warm tahleel ho jata hai.