Amrood Ke Fawaid Aur Nuksan: Amrood ka ped har kisam ki zameen par kashat hota hai aur phal deta hai. Yeh khat e sartan wajdi ke darmiani elakon mein kashat hota hai. G izaye lehaz se esey hayateen ka badshah aur sasta phal tasleem kea gya hai. Amrood ke beej mein loha khas miqdar mein hota hai. Phosphorus aur chona wafer mikdar mein paya jata hai. Vitamin A bhi es mein mojod hai. Sardion aur Garmion dono mosmon mein ye phal deta hai. Es ki eksaam mein safaida cheni dar, hafas, karla, seedestha aur meeho mash'hor kismein hain. Amrood Ke Tebi Khawas aur Elaj: Hukma ne es ka mezaj gharm tar bataya hai. Baaz ke nazdeek es ka mizaj garam tar bhi hai aur mutdal bhi. Magar amrood ke mutdal hone par zayada itfaq hai. Amrood maqwi aur mafrah hai. dair hazam hai. Esey kacha khane se qabaz peda hoti hai. Amrood ka istemal khana khane ke bad zayada fayda-mand hai. Amrood kabaz-kusha hai. Dil aur maida ko takat puhnchata hai. Khorak hazam karta hai. Dil ki dharkan taiz ho...
Ganne (Sugar Cane) Ke Ras Ke Fawaid: Sugar Cane Juice Benefits in Urdu/Hindi G anne ke ras ko yarkan ke marz mein buhat zayda ahmiat hasil hai. Pait mein aphara, kabz, gaz yahan tak ke zakham maida ki shikayat mein bhi ganne ka ras pene se buhat mufeed result hasil hote hain. Es ke sath sath garmi ke asrat ka shikar aur pathri ke mareezo ke lye bhi tibi mahreen ne ganne ke ras ko mufeed bataya hai. Jab buhat zayda dhoop jisam par parh rahi ho ya yarkan buhat shidat ke sath ho gya ho to sugar cane juice skon bakhashne aur marz se nijat dene ke sath sath mareez ki barhti hoe kamzori ko door karta aur quwat bakhashta hai. Kuenke es mein calcium aur folad ki kafi zayda mikdar hone ke ilawa phosphorus bhi hota hai. Esi waja se yarkan ke mareezon ko batore khas ganne ka ras pene ka mashwara dea jata hai. Mahreen ke tujrabe ke mutabik ganne ko rat ke waqt kesi khuli jaga par rakh dein aur subha nehar munh es ka ras peene se chand din mein yarkan mein afaka hojata hai. ...
Pista (Pistachio) Ke Fayde Aur Nuksan Pistachio benefits in urdu hindi P ista mizaj ke aitbar se garam tar aur kadre kabiz hai. Quwate hafiza, dil, damag aur maide ko quwat deta hai. Qay, matli, bechaini aur dil ki dharkan dor karta hai. Dhaat ki kami aur kamzori baah ke lye mufeed hai. Manni ko gharha karta hai. Tilli ko rafaa karta hai. Jisam ko mota aur sahetmand karta hai. Jigar ki sakhti ke lye bhi buhat mufeed hai.