Kino ya Malta Ke Fayde - Orange Benefits in Urdu/Hindi

Keno Ya Malta Ke Fawaid:

orange benefits in urdu hindi
orange benefits in urdu hindi
Kino ya malta qudrat ke umda tahayf mein se aik hai. Yeh ras dar aur tursh phalon mein buhat ahmiat ka hamil hai. Keno mukhtlif tareekon se pori dunia mein istemal kea jata hai.

Umooman log esey khane ke bad istemal karte hain. Es ke ilawa Keno ya malta ke sharbat, squish, jam aur murabbe wagaira bhi milte hain.

Malta ka asal watan junobi cheen hai. Esey ibtada mein junobi hindostan mein mutarif karaya gya. Mahreen ke tajzeye ke mutabik malta mein protein nahin hota lekin aik keno mein aik roti ke brabar takat hoti hai.

Ye phal jitne meethe hote hain, itni he en mein ghizait paye jati hai. Adha kilo malte mein 189 calories hoti hain. Kehte hain keh adhe keno mein itni he takat hoti hai. Jitni 400 garam dodh mein hoti hai.

Malta mein namkiat khasosan chona aur loha buhat hota hai jo khon ban'ne ke lye buhat zaroori hai. Es mein vitamin A,B aur C ki kafi bari mikdar paye jati hai.
  1. Malta mein ye khasosiat hoti hai Keh maide ko esey hazm karne ke lye khas mehnat nahin karni parti. Ye jald hazm ho kar khon mein shamil ho jata hai.
  2. Sangtara farhat bakhash hota hai.
  3. Malta dil aur maide ko takat deta hai.
  4. Garmi ko khatim karta hai.
  5. Ye rasdar phal khon ko bhi saf karta hai jis ki waja se susti aur kahli door hoti.
  6. Badan mein chusti ati hai.
  7. Jo log jismani tor par kamzor hon. Enhain khane ke bad malta khana chahye.
  8. Keno anton ko khana hazm karne mein madad milti hai.
  9. Keno bukhar ki garmi ko door karta hai.
  10. Es ka arq payas bujhata hai.
  11. Fasid madon ko kharij karta hai.
  12. Malta ki khushgawar khushbo mareez ko farhat bakhashti hai.

Agar ap mehsoos karte hain keh ap ki bhok buhat kam hogye hai aur khaya pia hazam nahin hota to ap bhi es nuskhe se kam le kar apni bhok durast kar sakte hain.

Malta ki kashain le kar es par sonth ka safoof aur kala namk chirkain aur khayn. Es nuskhe par kam az kam aik hafta zaroor amal karain.

Keno nizame hazma ke lye nehayt mufeed phal hai. Kuenke ye asani se jazoo badn ban'ne wali ghizait farahm karta hai.

Ye nizam enhazam mein muawan ratobaton ko muthark karta hai. Jis se bhook mein izafa hota hai aur anton mein mufeed bacteria ki afzaysh ke lye mozn kefiat peda hoti hai.

Calcium aur vitamin C ka aik umda zaria hone ki badolat malta danton aur hadion ki bemarion ke khilaf quwat mudafat fraham kar sakta hai.

Danto ke danchon mein peda hone wali kharabian zayda tar calcium aur vitamin C ki kami ke sabab peda hoti hai.

Chicago, America ke aik mualij ka dawa hai keh es ne poivaria aur danton mein kera lagne ke amraz ka elaj mareezo ko malta ka juice wafer mikdar mein pila kar kia hai.

Malta ka juice shahed ke sath mila kar pena dil ke amraz mein behad mufeed bataya jata hai. Dil ki sharyno ki bandash mein jab keh sirf sayl ghiza he mareez ko di ja sakti ho, tab keno ka ras shahed ke sath mila kar pilana buhat tawanaye bakhash hota hai.

Esi tarah tap diq, damah , zukam, purani khansi mein jab balgam ka ikhraj mushkil ho chukda ho to keno ka ras, chutki bhar namk aur khane ka aik chamcha shahed mila kar pilaya jata hai.

Ane namkiat aur ratobat se labreez ajza ki badolat keno ka ras balgam ke ikhraj ko asan banata hai.

Malta ke khushak chilkon ko kot kar pani mila kar chehre par niklne wale mahason par lagana buhat mufeed samja jata hai.

Taham ajkal bazar mein keno ke chilkon se tayar karda mask aur creams bhi dastiyab hain. Keno ke chilkon se hasil kea jane wala tail mukhtlif khushboun mein istemal kea jata hai.

Keno ke ajza mein namkiat aur vitamin C,B aur H shamil hain. Sard tar mizaj rakhta hai. Balgami amraz wale nazla, khansi, gale ki kharabi aur phephron ke amraz walon ko keno nahin khana chahye.

Sard mizaj walon ke lye bhi mufeed nahin hai. Khata keno mosam sarma mein hargiz istemal na karain.

Kino/Malta ke Chand Fawaid:

  1. Yeh maida ko takat deta hai.
  2. Qalb ko taskeen deta hai.
  3. Jigar ki sozish aur khono safra ki tezabiat ko khatim karta hai.
  4. Keno ka ras sab se zayda umda dawa hai. Aik glass roz pene se sar chakrana thek ho jata hai.
  5. Dilo gamag ke sabi amraz ko faida hota hai aur wazan barhta hai.
  6. Chehra khobsorat ho jata hai aur jisam mein taza khon peda hota hai.
  7. Kali mirch aur namk mila kar pene se lazeez ho jata hai.
  8. Taza keno kahin rakh dein aur para para sookh jane dein phir pees kar golian bana lein. Yeh golian haiza, qay aur matli ko khatim kar deti hai. Rozana 5 golian khayn.
  9. keno ka chilka khushak kar lein aur chehra par malain. Keel , Mahase khatim ho jayn gay.
  10. Khata keno khansi peda karta hai. Jab keh meetha keno kabz kholta hai.
  11. Maida ko takat deta hai.
  12. Dil ki garmi, jigar ki kharabi aur kamzori ka khatma keno ke ras se ho jata hai.
  13. Bemari mein meethe keno ka ras takat deta hai aur bemari ke hamle se bachou ka zaria banta hai.
  14. Nisf hissa ublta pani aur adha chamcha keno ka ras dodh mein cheni mila kar dodh pete bache ko pilayn to bacha takatwar ho jaye ga. Ye cheez esey maa ke dodh se zayda gaida de gi.
  15. Payas ki shidat ko keno kam karta hai. 
  16. Wabai zehron se bachata hai.
  17. Wahem ka marz keno khane se door ho jata hai.
  18. Danto aur masoron ko chamk dar mazboot karta hai.
  19. Yarkan ka behtreen elaj keno hai.
  20. Keno ke chilkon se behtreen khushbodar pasandeeda tail tayar hota hai.
  21. Boo Ali Seena ke mushahde ke mutabik sanp ke kate ke elaj mein sangtare ke chilke ka ras nikal kar pilana aur esey zakhim par lagana mufeed hai.
  22. Keno ka godha aur arq Allama Ghafqi ke mutabik bawaseer se nijat dilata hai.
  23. Keno ka beej har tarah ke zehron ka toor hai.
  24. Keno ke beej ka chilka utar kar esey pees kar aik garam safoof ka pani ke sath phank lena aksar zehreele keron ke kate ka asar zayl kar deta hai.
  25. Keno ki khushbo umdah aur mufeed hai.
  26. Es ke bare mein Dr. Khalid Ghazanvi likhte hain keh es ke fawaid par tawaja karain to ye bilkul es hadees ki tasveer nazer ataa hai. Jis ke mutabik Quran parhne wala momin Keno ke manand safaat ka hamil hai kuenke es ki safaat lamehdood hain aur esey dekhna bhi bayse farhat hai.