Falsa Ke Fayde - Black Currant Benefits in Urdu/Hindi

Falsa (Black Currant) Ke Fawaid: 

Black currant benefits in urdu/hindi
Black currant benefits in urdu/hindi
Falsa barsgeer ka phal hai. Yeh mantaka hara ka phal dar poda hai. Es ki do kismain hain. Aik onche podon wali jo khudro hai aur es ka phal zayka dar nahin hota.

Dosri kisam chote podon wali jiska phal chota aur gol hota hai. Aur zayke dar hota hai. Falsa (black currant) mosam sarma ka phal hai. Jo Satah samander se 3000 foot ki bulandi par kashat ho sakta hai.

Es mukami zuban mein falsa shereni aur falsa shakri kaha jata hai. Sayhi mayl surakh hota hai.

Es ke ajza mein folad namkiat aur vitamin C shamil hain.

Falsa (Black Currant) Tibi Khawas aur Elaj:


False ka mizaj kadre sard aur khushak hai. Eska istemal jisam mein saf khon peda karta hai. Hukma ke mutabik aik pou false mein aik chapati ke braber ghizaet hoti hai.

Mosam teez garam ho es ki waja se dil par gabrahat horhi ho to aese mein takreeban 50 garam falsa rozana istemal kar lia jaye to es takleef se nijat mil jati hai.


  1. Es ke istemal se payas ki shidat mein kami ati hai.
  2. Daymi kabz wale mareez gutleon ke sath falsa istemal karain to marz se nijat mumkin hai.
  3. Zia betus, dhak aur sel ke mareez ke lye bhi faida mand hai.
  4. Taiz bukhar mein false ka sharbat bukhar mein kami lata hai aur bechaini ka khatma karta hai.
  5. Mosam garma mein esey dahi ki manind lassi ki tarah bana kar pia jata hai to faidamand sabit hota hai.
  6. Es ke sath namk ka istemal karna behter hai.
  7. Garmi khatim karne ke lye falsa se behter koi cheez nahin.
  8. Es ka sharbat garmi ki zaydati, blood pressure, jal kar peshab ana, sozak, safravi bukhar aur garmi se peda shuda sabi amraz khatim kar deta hai.
  9. Maida, dil aur jigar ko takat deta hai.
  10. Hafkan, wahem aur amraze qalb ke ilawa qay ane ko khatim kar deta hai.
  11. Kamzoor jigar ko takat deta hai.
  12. Peshab mein khon ata ho to false ka pani peene se door ho jata hai.
  13. Pani mein es ki shal bigo kar pene se zia betus ko khatim kar deta hai.
  14. Sard mizaj logon ko yeh nahin khana chahye.
  15. Hichki aur tapdak walon ke lye falsa khana akseer hai.

Popular posts from this blog

Claim insurance For Car

Real Lawyer Reacts to Dhar Mann

Paan Khane Ke Fayde Aur Nuksan - Betel Leaf Benefits in Urdu/Hindi