Zaitoon Ke Fawaid - Olive Benefits in Urdu/Hindi

Zaitoon (Olive) Ke Faide:

Olive benefits in urdu hindi
Olive benefits in urdu hindi
Zaitoon wo mubarik phal hai jis ka zikar Quran Mujeed mein aya hai. Zaitoon ko arbi mein Zait aur angreezi franseesi mein olive kaha jata hai.

Yeh asia ka darakhat hai. Magar bahaira room aur neem garam khiton mein bakasrat ugta hai. Es ke tail ki khasosiat ye hai keh ye arsa daraz tak khushak nahin hota aur na he badboo deta hai.

Zaitoon ka tail jild, pait, pathon, joron aur sans ke amraz ke lye behad mufeed hai. Sheer khawar bachon ki es ke tail se malish ki jaye to sehat buhat umda rehti hai.

Khawateen apne chehre ki rangat aur jild ke lye be shumar creams aur lotions istemal karti hain. Jin ka nuqsan bhi hota hai.

Zaitoon ka tail ap ki jild ke lye qudrarti lotion hai. Adhi chamchi zaitonn ka tail lejeye. Es mein do chamch chakotre ka ras daleye aur thori c pesi hoe dar chenei shamil kar ke ameeeza tayar kar lejeye.

Es mixture ko das pandra mint tak chehre par lagaye rakhain. Baad mein taza pani se dho lein. Hafte mein do bar aesa karte rehne se ap ki rangat nikhar jaye gi.

Dhag dhabon se aksar khawateen buhat pareshan rehti hain. Aesi khawateen ko chahye keh aik chamch makayee ka aata, chothayee chamch shahed aur adha chamch zaitoon ka tail yakja kar ke achi tarah mila lein aur es mein thora sa doodh bhi shamil kar ke chehre par lagayn. Es se dhag dhabe door hote hain.

Zaitoon ke aur bhi buhat se fawaid hain. Dil ke mareez zaitoon ke tail mein pakke khane istemal karain. Kaan mein mail jama ho jaye ya kaan mein dard ho to zaitoon ka tail dalna chahye.

Es ke qatre bakaydgi se dalne se kan behna band ho jate hain. Zaitoon ganj ko khatm karta hai. Aur balon ko lamba aur khush numa karta hai.

Ankhon mein dalne se benayee taiz hoti hai aur surkhi door ho jati hai.