Tarbooz Ke Fayde - Watermelon Benefits in Urdu/Hindi
Tarbooz (Watermelon) Ke Fawaid:
Watermelon benefits in urdu |
Ye maide ki sozish aur peshab ki jaln ko khatim karta hai. Safravi shikayat mein khas toor par mufeed hai. Tarbooz ko khana khane se foran pehle ya foran bad istemal nahin karna chahye.
Khana khane ke foran bad es ka khana baz aukat sakhat muzer ho jata hai. Es ki wajah yeh hai keh khana maide mein kuch dair parha rehta hai aur rafta rafta agay barhta howa hazmo jazb hota rehta hai.
Jab keh tarbooz qudrati glucose hai jo nehayt tezi se hazmo jazb hota hai. Lekin es ke hazmo jazb hone mein jab kuch dair pehle khaya howa khana rakawat banta hai aur esey tezi se hazmo jazb nahin hone deta to maide aur anton mein fisad barpa ho jata hai.
Jo bad hazmi, aphare aur daston ki shikayt peda kar sakta hai. Es lye tarbooz khana khane ke 2, 3 gante bad khana chahye.
Tarbooz Ki Tebi Khasosiat:
Mosam garma mein nizame hazm kamzor ho jata hai. Es mosam mein agar pays ke hathon majboor ho kar buhat zayda mikdar mein pani pee lia jaye to pait phool jata hai.Misane par bojh mehsoos hota hai aur baz aukat khana durast tareke se hazm nahin hota hai. Aesi sorat mein pays bujhane ke lye tarbooz khah kitni zayda mikdar mein istemal kea jaye es se koi nuksan nahin hoga.
Ye foran hazm hojata hai. Es ke khane ke kuch dair bad dakar aajati hai. Bad hazmi peda nahin hoti, pait nahin pholta balke thori dair bad peshab khoob khul kar ata hai aur zayd pani kharij ho jata hai. Jab keh glucose jisam mein jazab ho kar tawanaye fraham karta hai.
Nizame Hazm Mein Behtri:
Tarbooz nizame hazm ki islaah karta hai. Agar esey khane se kabel es par sayh mirch, zeera aur kala namk pees kar chirak lia jaye to ye na sirf zayda lazeez ho jata hai balke hazme ki behtreen dawa bhi ban jata hai.Tarbooz ko es tarah khane se bhook khob chamk jati hai aur kuch dair bad khaya jane wala khana achi tarah hazm ho jata hai.
Tarbooz khane ke foran bad khon mein pani aur glucose ki mikdar mein izafa ho jata hai. Glucose to khuliat mein tezi se jazb ho kar kamzori aur sar dard aur ghabrahat ki alamat ko khatim kar deta hai.
Jab keh pani dorane khon mein shamil ho kar ragon mein gardish karta howa bilakhir gurde mein puhnchata hai. Jahan khon ki safaye hoti hai aur pani ki zayd mikdar peshab ke raste kharij ho jati hai.
Gurde khon mein mojod pani ki zayd mikdar ko peshab mein tabdeel kar ke misane mein baij dete hain aur es tarah khon mein pani ka tanasab bhi durast rehta hai aur khon ki safaye bhi ho jati hai.
High blood pressure ki sorat mein tabooz khane se jisam mein mojod zayd pani peshab ke raste kharij ho jata hai. Jabkeh low blood pressure hone ki sorat mein yeh dil ko farhat bakhashta hai aur khuliat mein tawanaye ke lye glucose puhnchata hai.
Tarbooz khane ke bad es ka sara pani peshab ki sorat mein kharij nahin ho jata balke kuch mikdar anton mein jazb ho jati hai jo ajabat ke sath shamil ho jati hai. Youn ajabat ki khushki door hojati hai. Jiski wajah se anton mein fuzle ko kharij karne ki tehreek peda hoti hai.
Chunache yeh kabz mein bhi buhat mufeed hai. Agar chand din masalsal tarbooz khaya jaye to kabz ki shekayat bilkul khatim ho jaye gi.
Tarbooz peshab ki jaln aur sozish mein mufeed hone ke ilawa aese bukharon mein bhi mufeed hai jo zayda waqt tak dhoop mein chalne phirne se peda ho jate hain.
Tarbooz ka istemal haliq ki khirash ko khatim karta hai. Es ke beejon ki giri jisam ki aam kamzori ke lye buhat mufeed hai.
Duble patle aur kamzoor jisam wale afrad ke lye yeh behtreen dawa hai.
Neither land mein ki jane wali aik research se zahir hota hai keh synas ki takleef ke lye tarbooz khana mufeed rehta hai. Tarbooz mein paya jane wala galotathewan nak ki es takleef ko door kar deta hai. Galota thewan tarbooz ke ilawa garaip fruit, santron, dahi aur sabz tarkarion mein bhi hota hai.
Es se phephre, sans ki nali, naak aur halq muzer ridicules se saf rehte hain. Es takleef mein ratobat nak mein jama rehti hai aur sabz ya zard rang ki ratobat ki sorat mein kharij hoti hai.
Sar ke ilawa ankhon ke pechle hisse aur nak ki dono tarf dard aur takleef hoti hai. Yahan tak keh dard ki tesein danton tak puhanchti hain.
Hamle ki shidat ke waqt murgi ke shorey se uth'ti hoe bhaap songne, es se garare karne aur pene se bhi faida hota hai. Kuenke es shorbe mein murgi ke goshat se shamil hone wale stain se jisam galotatheon tayar karta hai.
Hakemi tarekae elaj ke tahet tarbooz ke pani se tayr hone wala laouq bhi jami hoe nazladi ratobat ke ikhraj ke lye istemal hota hai.