Jamun Ke Fayde - Black Plum Benefits in Urdu/Hindi

Jamun (Black Plum) Ke Fayde:

Black plum benefits in urdu hindi
Black plum benefits in urdu
Jamun mosam garma ka aik aham phal hai. Es ka mizaj khushak sard hai. Yeh vitamin C ka baish baha khizana hai.

Aadh kilo jamun mein aik waqt ke khane jitni ghizayt hoti hai. Cytrac aur sinc acid ke ajza ki jamun mein mojodgi ne es pha ko maida, anton ki jalan, khirash aur kamzori dor kar k bhok barh'hane wali be misal ghiza bana dea hai.

Es mein payas ki shidat aur khon ki garmi thandi karne ki qudrati taseer mojod hai. Zia betas ke mareezon ke lye jamun ka istemal nehayt mufeed hai.

Es ka istemal zia betas ke mareezon mein khon mein shaker ki mikdar ko barhne nahin deta hai. Yeh safra ka zoor torta hai. Maida ko takat deta hai.

Jigar ke lye fayda mand hai. Jisam mein nia khon peda karta hai. Garam mizaj rakhne walon ke lye mufeed hai. Jamun ko khordani namk laga kar khana chahye. Jamun khane ke foran bad pani pena muzere sehat hai.

Safravi daston ko band karta hai. Quwat baah ko harkat deta hai. Khon aur garmi ke naqays ko door karne mein lajawab chez hai.

Es ki gutli quwat baah ko barh'hati hai. Aur madae toleed ko gharha karti hai. Garm mizaj walon ke maida aur tili aur jigar ko takat puhnchati hai.

Es ka sirka tili ke lye akseer ka darja rakhta hai. Jaman peshab ki zaydti ko kam karta hai.

Jamun ko nehar munh kabi istemal nahin karna chahye. Naiz esey hamesha namk mila kar khana chahye. Kuenke ye dair hazm hota hai. Lekin qudrat ne esey ye khasosiat ata ki hai keh khud dair hazm hone ke bawajood khane ko hazm karta hai.

Qadre kabiz zaroor hai magar jigar aur maida ko takat deta hai. Ilawa azein peshab mein shaker ane ko rokta hai. Naiz misane ki kamzori mein behad mufeed hai.

Jahan tak es ki ghizayt ya ghizaye khasosiat ka taluq hai. Es ke bare mein itna batla dena he kafi hai keh es ke khane se bhook khoob lagti hai.

Danton ko mazboot banane mein bhi akseeri hukam rakhta hai.