Bair Ke Fawaid - Jujube Benefits in Urdu/Hindi

Bair (Jujube) Ke Faide

Jujube benefits in urdu hindi
Jujube benefits in urdu hindi
Yeh aik marghob phal hai jise tesre darje ke phalon mein shamil kea jata hai. Bair ka mizaj sard khushak hai.

Bair ke bare bare darakhat bhi hote hain aur pastah kad jharian bhi aur pewand bair ke darakhat bhi.

Lekin es jagah hum jis bair ka zikar kar rahe hain. Wo chote size ka gol aur anaab ki tarah surakh rang wala bair hai.

Jise bache borhey sabi bari ragbat se aur maze le le kar khate hain. Dehat aur janglon wagaira mein es ke podey aam hote hain.

Bair ka shumar sasti kisam ki gizoun mein hota hai. Agar thore se bhi yani chatank adh pou mikdar mein bhi bair khaye jayn to badan ke lye nehayt mufeed giza ka kam dete hain.

Magar shart yeh hai keh bair kache aur turash na hon. Hamesha methay aur pake howe bair khane chahyn aur bair khane ke bad en ke uper pani har giz nahin peena chahye. Kuenke es tarah na sirf es ki faida bakhash taseer he mutasar hoti hai balke munh ka zayka badalne ke sath sath quwat hazma bhi mutasir hoti hai.