Ganne Ke Ras Ke Fayde - Sugar Cane Juice Benefits in Urdu/Hindi
Ganne (Sugar Cane) Ke Ras Ke Fawaid:
Sugar Cane Juice Benefits in Urdu/Hindi |
Es ke sath sath garmi ke asrat ka shikar aur pathri ke mareezo ke lye bhi tibi mahreen ne ganne ke ras ko mufeed bataya hai.
Jab buhat zayda dhoop jisam par parh rahi ho ya yarkan buhat shidat ke sath ho gya ho to sugar cane juice skon bakhashne aur marz se nijat dene ke sath sath mareez ki barhti hoe kamzori ko door karta aur quwat bakhashta hai.
Kuenke es mein calcium aur folad ki kafi zayda mikdar hone ke ilawa phosphorus bhi hota hai. Esi waja se yarkan ke mareezon ko batore khas ganne ka ras pene ka mashwara dea jata hai.
Mahreen ke tujrabe ke mutabik ganne ko rat ke waqt kesi khuli jaga par rakh dein aur subha nehar munh es ka ras peene se chand din mein yarkan mein afaka hojata hai.
Yarkan Kya aur Kis Tarah Phelta hai:
Hamare jisam ka sab se barha aur aham azoo jigar buhat se farayz anjam deta hai. Jin mein extracts ko mehfooz rakhna aur jisam ke tamam azaa ko zarorat parhne par farahm karna shamil hai.
Esi tarah es ka aik aur khas farz ye bhi hai keh wo khon se aik zard rang ki ratobat juda karta rahe aur esey jigar ke sath juri aik theli mein jama karte rahe.
Zard rang ki ratobat safra (bile) kehlati hai aur jis choti c theli mein esey jama kea jata hai. Esey pitta (Gall Blader) kaha jata hai.
Pitte se aik bareek nali es mukam par anton se aa kar milti hai. Jahan se antain shoro hoti hain. Es bareek nali ko safravi nali kaha jata hai. Safra (bile) nizame hazma ko durast rakhne mein aham kirdar ada karti hai.
Ye Charbi ko hazim karne min madad deti hai. Anton mein mojod nuksan deh cheezon par hamla awar ho kar enhain bezarar banati hai aur es ki tezi anton mein halki c chuban ka ahsas delati hai.
Qudrat ka yeh hairat angaiz nizam hai keh yahi pele rang ki ratobat yani safra khudkar tareke par khon se alag ho kar pitte mein jama hoti rehti hai aur khon mein yeh ratobat aik khas mikdar ke sath mojod rehti hai.
Phir pitte se zarorat ke mutabik ye ratobat anton mein puhnchati hai. Yahan yeh mufeed khidmat anjam deti hai.
Lekin agar jigar kesi nuks ka shikar hojaye to wo khon se es ratobat ko alag nahin kar pata ya pitta se ant tak le jane wali nali mein koi rakawat peda hojye to yeh ratobat anton tak nahin puhnch pati. Dono sorton mein hota yeh hai keh khon mein es ratobat ka tanasb barhne lagta hai.
Esi sorate hal ko yarkan ka nam dea jata hai.
Khon mein safra ki mikdar barhne se keh jisam ke mukhtlif hisson maslan jild, nakhun, ankhon ki rangat zard ho jati hai. Chonke gurde bhi bile ko chan kar kharij karne ki khoshish karte hain es lye peshab bhi gehre zard rang ka ane lagta hai.
Es tarah gurde bhi mutasir hote hain. Agar es ka ilaj na kea jaye to yeh karwa safra khon mein barh jata hai jo jisam ke lye bilkul aesa he hai. Jese pore jisam mein zaher phail jana.
Waqt par ilaj ke sorat mein yarkan ka marz 2, 3 hafton mein door hojata hai. Lekin es ke bad bhi khase arse tak chiknaye se parhaiz lazmi hai.
Kuenke es se jigar par wazen parhta hai aur es ka istemal na karne se nuksan deh madey nahin bante. Es ke ilawa es marz mein aram karna bhi buhat zaroori hai.
Aram karne se jigar ko bhi aram milta hai. Esi tarah es marz mein thandi chezon ka istemal buhat mufeed hota hai. Kuen keh thandi chezon se fasid made peshab ke raste kharij ho jate hain.
Thandi Chezon mein sabzion ke soup, phalon ke ras aur ganne ka ras khas toor par buhat mosar hote hain.
Youn to yarkan mein ganne ka ras buhat mufeed hai. Lekin hamare han doctors ganderian chosne ko ahmiat dete hain.
Kuen ke bazar mein jaga jaga gane ke juice ki dukano aur thelon mein ras nikalne mein safaye ka khayal nahin rakha jata.
Agar ap bazar se ganne ka ras le rahe hain to es bat ka khas khayl rakhain ke saf ganne istemal keye jayn.
Ye bhi tasali kar lein keh jis pani se wo glass aur apne hath saf kar raha hai wo bhi saf ho. Lekin agar phir bhi ap mutmin na hon to ganderi khana bhi buhat mufeed hai.
Ganne ko danton se cheelne ke bad chosne se es mein kafi mikdar mein munh ki ral bhi shamil hojati hai es tarah wo jaldi hazm ho jata hai.
Ganna danton se cheel kar khane se danton aur masoron ki achi warzish hoti hai. Youn bhi jab hum khud se ganna khate hain to kharab hisse ko alag kar dete hain jo keh bazar se khareede gaye ganne ke ras me amoman shamil hota hai.
Ganne ka ras pathri ki shikayat mein bhi mufeed paya gaya hai. Yeh gurdon ki safye karne ke sath sath khon ki garmi aur hiddat bhi door kar raha hota hai.
Peshab awar hone ki waja se yeh blood pressure bhi kam kar deta hai. Es ke ilawa ganna kamzor afrad ke lye buhat mufeed hai.
Es maqsad ke lye ganne ke ras ki kheer ka istemal buhat faidamand hai. Ganne ke ras mein pake howe rice mein balaye, maghziat aur dodh dal kar tayar hone wali yeh kheer amoman matti ki handia mein pakaye jati hai aur thandi kar ke barhe shook se khaye jati hai.
Ye kheer nehayt zood hazm hone ke sath sath buhat takat bakhash hoti hai.