Kela Ke Fayde - Banana Benefits in Urdu/Hindi

Kela (Banana) Khane Ke Fawaid:

Banana Benefits in Urdu/Hindi
Banana Benefits in Urdu/Hindi
Kela sard tar mizaj ka hamil phal hai. Ghizait parwari aur lazeez tareen phalon mein banana ko shumar kia jata hai.

Banana ko aik munfrid hasiat hasil hai. Yahi sabeb hai keh chote bachon se le kar barhe borhon tak sab he esey barhe shook se khate hain.

Kela bhi kaye kisam ka hota hai. Barsgeer pako hind ke mukhtalif makamat par peda hone wala kela apni apni alakaye nisbat yani zameen ki taseer ke lehaz se mukhtalif size aur zayde wala hota hai.

Misal ke toor par ab tak hari chal ka kela tamam barsgeer mein sab se behter kela samja jata tha. Lekin ab Pakistan ka kela zayda aur taseer mein agar es se behter nahin to kesi lehaz se kamtar bhi nahin hai. Intehayee lazeez barhe size wala aur takat bakhash hota hai.

Sarhad ka kela kesi kader dair hazm aur lays dar hota hai. Kolkata ki tarf jo kela paya jata hai. Wo size ke lehaz se chota hota hai. Naiz kesi kadr methas wala bhi magar yeh kela sangr'hani, pechash, kuhna ke amraz mein mufeed sabit howa hai.

Baherhal kela har lehaz se sehat bakhash phal hai. Jo nasirf lazzat bakhashi mein he lajawab hai. Balke ghizeat hasiat ka hamil hone ki waja se sab phalon se numayn khasosiat ka hamil hai.

Banana ke mutalik tibi nukta nazer se he nahin balke awam ke apne tujrabe aur mushahda ki baat hai jo barhi mash'hoor hai yani kela aur doodh yani aik glass dodh mein kela phenta howa ho mukam'mal ghiza ka darja rakhta hai.

Kela tamam phalon mein wahid aik aesa phal hai jo bhook ka ilaj karne ke silsile mein buhat zayda mufeed hai.

Agarche balgam peda karta hai aur kamzoor hazme wale afrad ke lye kesi kader nuksan deh hai lekin es ke bawajood kele ke ghizait aur tibi khasosiat mein kesi se kam nahin.

Kele ki do khasositein buhat mash'hoor aur kable ghoor hain. Pehli yeh keh kela badn mein khon ki mikdar barhata hai aur jisam ko mota karta hai. Es ke ilawa jisam mein takat bhar deta hai.

Banana mein kareeb kareeb sabi takat bakhash joher paye jate hain jo kesi behtreen ghiza ka zarori hissa samje jate hain.

Yahi sabeb hai keh agar insan 3, 4 kele aik sath kha le to es ki bhok ki shidat mein kafi had tak kami waqye hoti hai aur bhook ka koi khas ahsas nahin hota.

Balgami amraaz wale aur aese afrad jin ki quwate hazma kesi sabeb se kamzor hoe ho unhain kela zayda mikdar mein istemal nahin karna chahye.

Taham kabi kabar aik adh kela khane mein koi harj nahin hai. Kachey kele ka saln bhi pakaya jata hai. Agarche kache kele ki sabzi kesi kader bari hoti hai. Taham es ka saln kafi khush zayka tayar hota hai. Jo garmi mein khushki door karne ki khasosiat rakhta hai.

Kela kesi kadr kabz bhi hota hai. Misal ke tor par agar aik adh kela kha lia jaye to aesi sorat mein kabz ka kesi kader amkan ho sakta hai. Lekin agar 3, 4 kele kha leye jayn to kabz ke amkanat door ho jate hain.

Pakwan ke ilawa kacha kela kesi bhi sorat mein nahin khana chahye aur kela khane ke bad pani hargiz nahin pena chahye. Kuenke es se tabiat bojhal hojati hai.
Maide mein takleef ki shikayat ho sakti hai.

Albattah kele ke uper dodh ya dodh wali chaye zaroor pee ja sakti hai. Esi tarah khali maide ke sath kela khana bhi munasib nahin hai.

Khana kha chukne ke kuch waqt ke bad ya nashta ke sath ya teesre paher kha lene mein koi nuksan nahin.

Baher hal es bat mein kesi kism ke shako shubah ki gunjaysh nahin keh kela har umer mein aik mukam'mal aur quwat bakhash ghiza hai aur es ke khane se khon peda hota hai aur jisam mota hota hai.

Banana ke chand numayn faide darj zail hain:


  1. Jaryan aur ahtlam ke marz mein es ka istemal buhat mufeed hai.
  2. Khushak khansi ke mareezon ke lye es ka khana buhat mufeed hai.
  3. Kele ke uper shahed mila doodh pena aurton ke safaid pani ane ke marz mein buhat mufeed hai.
  4. Garm mizaj walon ki quwat baah mein kafi zayda izafa hota hai.

Kela Ke Nuksan:


Kesi kader dair hazm hai aur zayda mikdar mein reeh, balgam aur aphara peda hone ke amkan hote hain.

Note:
Kache kele ke sath sirka, dahi ki lassi, achar aur khatas wali koi cheez istemal nahin karni chahye.