Singhara Ke Fayde - Water Chestnut Benefits in Urdu/Hindi
Singhara (Water Chestnut) Ke Fawaid:
Water Chestnut benefits in urdu hindi |
Maide ke sath jisam ke baz dosre makhsoos azaa ko bhi takwiat deta hai. Es ke makhsoos aur numayan toor par tibi khobian darj zail hain.
Singhara Ke Tibi Khawas:
- Munh se khon ka ana band karta hai.
- Dil ki jaln ko door karta hai.
- Jaryan ke mareezon ke lye aik intehaye mufeed cheez hai.
- Sokha howa singhara daad ke uper lagane se khaterkhah faida puhnchata hai.
- Jin logon ko halq ki khushki ki shekayt hoti hai en ke lye buhat khas cheez hai.
- Payas ki shidat ko rokne mein jado asar hai.
- Badan ko makool had tak mota sehat mand karta hai.
- Gharm mizaj walon ki quwat baah ko mazboot karta hai aur es mein khaterkhah izafa karta hai.
- Madaye toleed mein izafa karne ke sath sath esey gharha bhi karta hai.
- Jin logon ko jaryan ka arza ho aur wo abhi apne intehaye darje ko na puhncha ho. Agar wo singhara ke mosam mein 5, 7 dane rozana kha kar uper se hasbe bardasht dodh pee lea karain to en ke arza jaryan mein kafi had tak kami waqye ho sakti hai. Khas tor par manni niklne ke arza mein singhara buhat faida karta hai.
- Singhara mein koi nuqs hai to sirf es qadr keh zara dair se hazm hota hai. Lekin ghizayt parwari aur jismani tawanaye naiz mardana quwat ke lye aik mufeed aur kable qadr ghiza hai.