Papita Ke Fayde - Papaya Benefits in Urdu/Hindi

Papita (Papaya) Ke Fawaid in Urdu & Hindi:

Papaya Benefits in urdu hindi
Papaya Benefits in urdu hindi
Papita province Sindh mein buhat zayda paya jata hai. Es ke lye garm martoob abo hawa mufeed hoti hai.

Zarkhaiz zameen mein peda hota hai. March, April mein bakhobi phal deta hai. Es ki iksam mein Solo, Balwateam, tee, Nair child aur kemi, hytes gord aur Pakistan ke baaz hisson mein esey erind kharboza bhi kaha jata hai.

Es mein shakar aur vitamin C wafer mikdar mein hote hain. Zardi mayl aur sabaz rang mein peda hota hai.

Papita Ke Tebi Khawas Aur Elaj:

  1. Es ka mizaj garm tar hota hai. Garm mizaj logon ko nahin khana chahye.
  2. Maide ko quwat deta hai. Khana hazam karta hai aur bhook lagata hai.
  3. Maida ki reeh ko nikalta hai aur pait ke kere khatm karta hai.
  4. Peshab awar hai. Mesane ki pathri ko torta hai.
  5. Es ke kache phal se jo doodh niklta hai. Esey dard par lagaya jaye to dard ko bilkul khatm kar deta hai.
  6. Es ko khushak kar ke safoor mila kar agar goshat par chirka jaye to goshat jald gal jata hai.
  7. Ye hamel gira deta hai es lye hamla aurton ko papita khane se gareez karna chahye.
  8. Kabz Kusha hai.
  9. Payas kam lagata hai.
  10. Es ka sirka bhi banaya jata hai. Aur adwiaat mein papita ka ras istemal hota hai.
  11. Pait dard ke lye mufeed hai.
  12. Sene ki balgam ko saf kar deta hai.
  13. Khawab awar hai.
  14. Badan ke sojhey hoe hison par es ke patte bandhe ya maley jayn to sojhan ko door karta hai.
  15. Papita ki jarhain bawaseer ke lye mufeed hain. Takat ke lye bhi en jharon ka majon se bana kar khaya jata hai.
  16. Es ka doodh powder aur careamo mein badan ke dagh dabhe door karne ke lye istemal hota hai.
  17. Diq, Pechash aur bawaseer ke mareezon ke lye es ka phal khana behad mufeed hai.
  18. Do khano ke darmayni wakfa mein papita khana chahye
  19. Nehar munh es ka istemal hargiz na karain.

Popular posts from this blog

Claim insurance For Car

Real Lawyer Reacts to Dhar Mann

Paan Khane Ke Fayde Aur Nuksan - Betel Leaf Benefits in Urdu/Hindi