Papita (Papaya) Ke Fawaid in Urdu & Hindi: Papaya Benefits in urdu hindi P apita province Sindh mein buhat zayda paya jata hai. Es ke lye garm martoob abo hawa mufeed hoti hai. Zarkhaiz zameen mein peda hota hai. March, April mein bakhobi phal deta hai. Es ki iksam mein Solo, Balwateam, tee, Nair child aur kemi, hytes gord aur Pakistan ke baaz hisson mein esey erind kharboza bhi kaha jata hai. Es mein shakar aur vitamin C wafer mikdar mein hote hain. Zardi mayl aur sabaz rang mein peda hota hai. Papita Ke Tebi Khawas Aur Elaj: Es ka mizaj garm tar hota hai. Garm mizaj logon ko nahin khana chahye. Maide ko quwat deta hai. Khana hazam karta hai aur bhook lagata hai. Maida ki reeh ko nikalta hai aur pait ke kere khatm karta hai. Peshab awar hai. Mesane ki pathri ko torta hai. Es ke kache phal se jo doodh niklta hai. Esey dard par lagaya jaye to dard ko bilkul khatm kar deta hai. Es ko khushak kar ke safoor mila kar agar goshat par chirka jaye to goshat jal