Posts

Japani Phal Ke Faide - Persimmon Benefits in Urdu/Hindi

Image
Japani Phal (Persimmon) Ke Fawaid persimmon benefits in urdu < ="font-family: Verdana, sans-serif;"> W adi kalr mein japani phal sab se pehle 1920 mein kasht kea gya. Ye 3 hazar se 5 hazar foot ki bulandi par kashat kea jata hai. Ye sab se zayda Japan mein kashat hota hai aur ab mantaka mutdala ke ilaqon mein bhi kashat hota hai. Mutdal elake ka phal hai. Nehri elake aur daman kooh mein kashat hota hai. martoob aur sakhat sard elakon mein peda hone ke amkanaat buhat kam hain. Pani ke behter nikas wali aur gehri zarkhaiz zameen es phal ki khashat ke lye mozon samji jati hai. Zayda chikni zameen mein peda nahin hota. October mein phal pak jata hai. Yeh aik sherein phal hai. Es mein se nakhushgawar c boo ati hai. Es ke ajza mein raakh nishasta, lahmi madah aur hayateen ki wager mikdar mojod hoti hai.

Badam Ke Fayde - Almond Benefits in Urdu/Hindi

Image
Badam (Almond) Ke Fawaid almonds benefits in urdu B adam ka mizaj garam tar hai. Lekin es ke magaz ko pani mein bigo kar chilka utara jaye to mutdal tar ho jata hai. Azaye Raesa ke lye mufeed hai. Jismani o damagi quwat barh'hata hai. Quwate hafiza, damag aur ankhon ke lye behtreen chez hai. Khushak khansi ko door karta hai. Misane ke amraz ke lye mufeed hai. Khon aur charbi peda kar ke jisam ko mota, manney ko garha aur quwate marvi mein izafa karta hai. Rogan badam kabaz kusha hai. Dodh mein mila kar pene se kabaz ki shekayt rafaa karta hai. Maide, damag aur jigar ko quwat bakhashta hai. Khushki ko door karta hai.

Ananas Ke Faide - Pineapple Health Benefits in Urdu/Hindi

Image
Ananas (Pineapple) Ke Fawaid pineapple benefits in urdu A nanas Mantka-Hara aur Mashraqi Bangal ka phal hai. Keurey ke podon ki tarah es ka poda bhi khushbodar hota hai. Es mein pani, shaker, folad aur vitamin C wafer mikdar mein hote hain. Ananas Ke Tebi Khawas Aur Elaj: Baz es ka mizaj garam tar batatey hain baz sard tar. Magar zayda tar yeh sard mizaj hai. Sehat bakhash phal hai. Dilo damag ko takwiat deta hai. Payas khatam karta hai. Khafkaan, garmi ke lye akseer hai. Duble patle insano ko mota karta hai. Jisam mein takat lata hai. Es ka sharbat bhi dilo damag ke lye behad mufeed hai. Zaaf Qalb aur zaaf baah wale ashkhaas eska istemal karain to es ki shikayt door ho jati hai.

Angoor Ke Fawaid - Grapes Benefits in Urdu/Hindi

Image
Grapes Benefits in Urdu/Hindi (Angoor Ke Faide) Grapes benefits in urdu A ngoor buhat metha aur khush-zayka phal hai. Yeh mosam garma ke akhri dino mein paya jata hai aur khoob shok se khaya jata hai. Angoor ki kaye aksam hain jin mein chamni, bastani, bedana, movi, sunder-khani zayda mash'hor hain. En tamam kismon ki rangat, jisamat aur lazat juda juda hai. Angoor mein vitamin C, Magnesium, Sodium, Vitamin B, vitamin C, Boiteen, Iron, Carbohydrates, Glucose, Frotoz ke ajza mukhtlif mikdar mein paye jate hian. Angoor Ke Tebi Khawas Aur Elaj: Ye phal intehaye nadir aur bemisal asraat ka hamil hai aur sehato-tawanaye  aur farhato-enbasaat dene ke lehaz se aik anokha aur pur-kashish phal hai. Angoor ki 3 buniadi khasosiat aesi hain keh sawaye anar ke, dosre phalon mein es ki misal nahin milti. Es ki 3 alaa tareen khasosiat yeh hain.

Anjeer Ke Fawaid - Benefits of Figs in Urdu/Hindi

Image
Figs Benefits in Urdu/Hindi Figs benefits in urdu A njeer na sirf apni afadiat ke aitbar se behtreen phalon mein shumar kea jata hai. Balke apni lazzato-zayqa parwari ke lehaz se bhi buhat achi aur faida-mand cheez hai. Chonke taseer ke lehaz se buhat garam hoti hai. Es lye aik waqt mein 5, 7 dano se zayda nahin khani chahye. Usoli tor par aik waqt mein itni he khorak mufeed hoti hai sehat ke lye. Zayda mikdar mein khayee jaye to tabiat aur maide mein hiddat peda karti hai.

Anar Ke Fayde - Pomegranate Benefits in Urdu/Hindi

Image
Pomegranate Benefits in Urdu & Hindi pomegranate benefits in urdu A nar aik aesa phal hai jo pori dunia mein paya jata hai. China aur Kashmir mein bhi anar wafer mikdar mein paya jata hai. Sard aur mutdal dono kisam ki muqamat par es ki pedawar hosakti hai. Gehri aur chikni zameen mein zayda khobi ke sath kashat hota hai. Calor aur shoor ki zameeno mein kashat ho sakta hai magar geeli zameen par kashat zayda kamyaab rehti hai. Maah September mein pedawar deta hai. Tursh aur sherein do kisam ka anar hota hai. Anar sherein jise kabli anar bhi kaha jata hai. Khush rang aur ras bhara hota hai jo zayda kamyaab hai. Aur tursh dano wala qandhari anar kehlata hai. Jo tursh hone ke bawajood mazedar hai. Anar ke Tebi Khawas Aur Elaj: Sherein aur tursh anar mila ke khaya jaye to zayda faydemand hai. Kuenke tursh anar maide ke lye kafi muzer hota hai. Es ka mizaj sard hota hai. Kuch log esey qabiz khayl karte hain par yeh hargiz qabiz nahin hota hai. Anar

Amrood Ke Fayde Aur Nuksan - Guava Benefits in Urdu/Hindi

Image
Amrood Ke Fawaid Aur Nuksan: Amrood ka ped har kisam ki zameen par kashat hota hai aur phal deta hai. Yeh khat e sartan wajdi ke darmiani elakon mein kashat hota hai. G izaye lehaz se esey hayateen ka badshah aur sasta phal tasleem kea gya hai. Amrood ke beej mein loha khas miqdar mein hota hai. Phosphorus aur chona wafer mikdar mein paya jata hai. Vitamin A bhi es mein mojod hai. Sardion aur Garmion dono mosmon mein ye phal deta hai. Es ki eksaam mein safaida cheni dar, hafas, karla, seedestha aur meeho mash'hor kismein hain. Amrood Ke Tebi Khawas aur Elaj: Hukma ne es ka mezaj gharm tar bataya hai. Baaz ke nazdeek es ka mizaj garam tar bhi hai aur mutdal bhi. Magar amrood ke mutdal hone par zayada itfaq hai. Amrood maqwi aur mafrah hai. dair hazam hai. Esey kacha khane se qabaz peda hoti hai. Amrood ka istemal khana khane ke bad zayada fayda-mand hai. Amrood kabaz-kusha hai. Dil aur maida ko takat puhnchata hai. Khorak hazam karta hai. Dil ki dharkan taiz ho

Akhrot Ke Fayde - Walnut Benefits in Urdu/Hindi

Image
Akhrot Ke Fawaid: Akhrot Ke Faide - Walnut Benefits in Urdu S ardeon kay agaz kay sath he khushak meva-jaat ka istemal shoro ho jata hai. Yeh meva-jaat quwat bakhash giza kay toor par istemal keye jate hain. En se jisam mein takat aur hararat ka ahsas hota hai aur mosam sarma ki shidat ka muqabla kea jata hai. Aese he khushak meva-jaat mein aik akhrot hai. Jiska magaz barhey shok se istemal kea jata hai keh ye buhat tawanaye bakhash aur mufeed meva hia. Khushak meva-jaat aur en kay magaz zindagi ke ibtadayee door mein batoore-giza bhi istemal hote rahe hain. Magar jadeed tehqeeq ki roshni mein en ki afadiat ka andaza hone se enka istemal phir se ho rha hai. Akhrot Ke Tabi Khawas aur Elaj: Aik tehqeeq ke mutabik magziat mein 13 se 20 fesad lehmiat, 50 se 60 fesad rogniat, 9 se 12 fesad nishasta, 3 se 5 fesad calories aur kaye dosri madniat ki miqdar aik fesad tak mojod hoti hai. Tehqeeq ke mutabik 100 gram magziat se 600 gizaye harare peda hote hain. Sabzion ke

Amla Ke Faiday - Amla Health Benefits in Urdu

Image
Amla (Myrobalan) Ke Fawaid: U rdu adab ka mash'hoor mahawara hai keh amlay ka khaya aur barhon ka kaha baad mein pata chalta hai. Amla Kay Fawaid Yaani es ki tasdeeq bad mein hoti hai. Amla wo mash'hoor phal hai jo adwiyaat mein zayda estemal hota hai.