Anar Ke Fayde - Pomegranate Benefits in Urdu/Hindi

Pomegranate Benefits in Urdu & Hindi

pomegranate benefits in urdu hindi
pomegranate benefits in urdu
Anar aik aesa phal hai jo pori dunia mein paya jata hai. China aur Kashmir mein bhi anar wafer mikdar mein paya jata hai.

Sard aur mutdal dono kisam ki muqamat par es ki pedawar hosakti hai. Gehri aur chikni zameen mein zayda khobi ke sath kashat hota hai.

Calor aur shoor ki zameeno mein kashat ho sakta hai magar geeli zameen par kashat zayda kamyaab rehti hai. Maah September mein pedawar deta hai.

Tursh aur sherein do kisam ka anar hota hai. Anar sherein jise kabli anar bhi kaha jata hai. Khush rang aur ras bhara hota hai jo zayda kamyaab hai. Aur tursh dano wala qandhari anar kehlata hai. Jo tursh hone ke bawajood mazedar hai.

Anar ke Tebi Khawas Aur Elaj:

Sherein aur tursh anar mila ke khaya jaye to zayda faydemand hai. Kuenke tursh anar maide ke lye kafi muzer hota hai.

Es ka mizaj sard hota hai. Kuch log esey qabiz khayl karte hain par yeh hargiz qabiz nahin hota hai.

  1. Anar dil aur jigar ko quwat deta hai.
  2. Saf khon peda karta hai.
  3. Peshab-awar hai. Peshab lata hai.
  4. Bhook peda karta hai.
  5. Dilo-damag ke lye farhat bakhash hai yani en ko behter banata hai.
  6. Jigar aur masana ki garmi ko door karta hai.
  7. Bar bar payas lagne ko rokta hai.
  8. Ashal ke arzaa ke lye behad mufeed hai.
  9. Tabiat mein nikhar aur shuftagi peda karta hai.