Posts

Shaker Qandi Ke Fawaid - Sweet Potato Benefits in Urdu/Hindi

Image
Shaker Qandi (Sweet Potato) Ke Fawaid Sweet Potato Benefits in Urdu/Hindi S haker qandi garam tar aur kabiz hai. Es mein neshasta ki mikdar sab ajza se zayda hoti hai. Es lye mehnat mazdori karne walon ke lye takat bakhash ghiza hai. Phephre ko takat deti hai aur jisam ko mazboot banati hai. Dair se hazim hoti hai. Kamzoor maide wale hazrat es ko khane se gureeze karain. Es ke khane ke baad thori c sonf chabaa lena faida mand hai.

Sharifa Ke Fayde - Custard Apple Benefits in Urdu Hindi

Image
Sharifa (Custard Apple) Ke Fawaid: Custard Apple Benefits in Urdu Hindi S harifa aik garam tar phal hai. Dil aur damag ko takat bakhshta hai aur manny ko garha karta hai.

Singhara Ke Fayde - Water Chestnut Benefits in Urdu/Hindi

Image
Singhara (Water Chestnut) Ke Fawaid:  Water Chestnut benefits in urdu hindi K hushak singhara sard khushak aur taza singhara sard tar mizaj ka hamil hai. Singhara mosam sarma ki aik ajeeb asar aur buhat c sifaat wali nimat hai aur buhat zayda ghizaye safaat ka hamil hai. Maide ke sath jisam ke baz dosre makhsoos azaa ko bhi takwiat deta hai. Es ke makhsoos aur numayan toor par tibi khobian darj zail hain. Singhara Ke Tibi Khawas: Munh se khon ka ana band karta hai. Dil ki jaln ko door karta hai. Jaryan ke mareezon ke lye aik intehaye mufeed cheez hai. Sokha howa singhara daad ke uper lagane se khaterkhah faida puhnchata hai. Jin logon ko halq ki khushki ki shekayt hoti hai en ke lye buhat khas cheez hai. Payas ki shidat ko rokne mein jado asar hai. Badan ko makool had tak mota sehat mand karta hai. Gharm mizaj walon ki quwat baah ko mazboot karta hai aur es mein khaterkhah izafa karta hai. Madaye toleed mein izafa karne ke sath sath esey gharha bhi karta hai. J

Kino ya Malta Ke Fayde - Orange Benefits in Urdu/Hindi

Image
Keno Ya Malta Ke Fawaid: orange benefits in urdu hindi K ino ya malta qudrat ke umda tahayf mein se aik hai. Yeh ras dar aur tursh phalon mein buhat ahmiat ka hamil hai. Keno mukhtlif tareekon se pori dunia mein istemal kea jata hai. Umooman log esey khane ke bad istemal karte hain. Es ke ilawa Keno ya malta ke sharbat, squish, jam aur murabbe wagaira bhi milte hain. Malta ka asal watan junobi cheen hai. Esey ibtada mein junobi hindostan mein mutarif karaya gya. Mahreen ke tajzeye ke mutabik malta mein protein nahin hota lekin aik keno mein aik roti ke brabar takat hoti hai. Ye phal jitne meethe hote hain, itni he en mein ghizait paye jati hai. Adha kilo malte mein 189 calories hoti hain. Kehte hain keh adhe keno mein itni he takat hoti hai. Jitni 400 garam dodh mein hoti hai. Malta mein namkiat khasosan chona aur loha buhat hota hai jo khon ban'ne ke lye buhat zaroori hai. Es mein vitamin A,B aur C ki kafi bari mikdar paye jati hai. Malta mein ye khasosi

Sarda Ke Fayde - Musk Melon Benefits in Urdu/Hindi

Image
Sarda (Muskmelon) Ke Fawaid: Musk melon benefits in urdu hindi S arda kharboze ki kisam ka phal hai. Qudrati tor par muatdal tar, dilo damag, gurde aur misane ko takwiat puhnchata hai. Jisam mein ratobat barh'hata hai. Peshab awar aur peshab ki jaln mein soodmand hai.

Zaitoon Ke Fawaid - Olive Benefits in Urdu/Hindi

Image
Zaitoon (Olive) Ke Faide: Olive benefits in urdu hindi Z aitoon wo mubarik phal hai jis ka zikar Quran Mujeed mein aya hai. Zaitoon ko arbi mein Zait aur angreezi franseesi mein olive kaha jata hai. Yeh asia ka darakhat hai. Magar bahaira room aur neem garam khiton mein bakasrat ugta hai. Es ke tail ki khasosiat ye hai keh ye arsa daraz tak khushak nahin hota aur na he badboo deta hai. Zaitoon ka tail jild, pait, pathon, joron aur sans ke amraz ke lye behad mufeed hai. Sheer khawar bachon ki es ke tail se malish ki jaye to sehat buhat umda rehti hai. Khawateen apne chehre ki rangat aur jild ke lye be shumar creams aur lotions istemal karti hain. Jin ka nuqsan bhi hota hai. Zaitoon ka tail ap ki jild ke lye qudrarti lotion hai. Adhi chamchi zaitonn ka tail lejeye. Es mein do chamch chakotre ka ras daleye aur thori c pesi hoe dar chenei shamil kar ke ameeeza tayar kar lejeye. Es mixture ko das pandra mint tak chehre par lagaye rakhain. Baad mein taza pani se dho lein. Ha

Khubani Ke Fawaid - Apricot Benefits in Urdu/Hindi

Image
Khubani (Apricot) Ke Faide: Apricot benefits in urdu hindi K hobani (Apricot) mizaj ke aitbar se garam hai. Kabz Kusha hai. Jisam ko takat bakhashti hai. Payas ki shiddat, bukhar, bawaseer aur anton ke bemarion ko door karti hai. Pait ke kere halak karti hai. Khati khobani istemal nahin karni chahye kuenke aphara peda karti hai.