Posts

Kela Ke Fayde - Banana Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kela (Banana) Khane Ke Fawaid: Banana Benefits in Urdu/Hindi K ela sard tar mizaj ka hamil phal hai. Ghizait parwari aur lazeez tareen phalon mein banana ko shumar kia jata hai. Banana ko aik munfrid hasiat hasil hai. Yahi sabeb hai keh chote bachon se le kar barhe borhon tak sab he esey barhe shook se khate hain. Kela bhi kaye kisam ka hota hai. Barsgeer pako hind ke mukhtalif makamat par peda hone wala kela apni apni alakaye nisbat yani zameen ki taseer ke lehaz se mukhtalif size aur zayde wala hota hai. Misal ke toor par ab tak hari chal ka kela tamam barsgeer mein sab se behter kela samja jata tha. Lekin ab Pakistan ka kela zayda aur taseer mein agar es se behter nahin to kesi lehaz se kamtar bhi nahin hai. Intehayee lazeez barhe size wala aur takat bakhash hota hai. Sarhad ka kela kesi kader dair hazm aur lays dar hota hai. Kolkata ki tarf jo kela paya jata hai. Wo size ke lehaz se chota hota hai. Naiz kesi kadr methas wala bhi magar yeh kela sangr'hani

Kheera Ke Fayde - Cucumber Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kheera (Cucumber) Khane Ke Fawaid: Cucumber Benefits in Urdu/Hindi K heera (cucumber) bhi kakdi ki kism ka sard tar phal hai. Cucumber kabz kusha aur garmi ke buhat se amraz mein mufeed hai. Payas, yarkan, peshab ki jaln, peshab ka ruk ruk kar ana wagaira shikayat door karta hai. Es ko cheel kar aur kali mirch, namk mila kar khana chahye. Aik adh kheere se zayda mat khayn. Es ke baad pani peene se haize ka khatra hai. Kheere ka barta bhi mufeed hai.

Chohara Ke Fayde - Dry Dates Benefits in Urdu/Hindi

Image
Chohara (Dry Dates) Ke Fawaid: Dry Dates Benefits in Urdu/Hindi C hohara aik achi kisam ki khajoor, Dodh ki lassi kadre ghee mein ubal kar tayar kea jata hai. Es ki tabiat garam khushak hai. Chohara badan ko mota karta hai. Saaf khon peda karta hai. Phephre aur seene ko takat ata karta hai. Sardi, badi aur balgam ke amraz mein soodmand hai. Adrangh, lakwa, pathri aur peeth ke dard ko door karta hai. Baah ke lye faida mand hai. 2, 3 chohare dodh mein ubal kar istemal karne se takat barhti aur kami baah door ho kar quwate mardi mein izafa karti hai. Chonke garmi peda karta hai es lye aik sath 5, 6 se zayda nahin khani chahyn.

Khajoor Ke Faide - Benefits of dates in Urdu(Khajoor)(کھجور ):

Image
Benefits of dates in Urdu کھجوریں کھجور (khajoor)  کے درخت کا پھل ہیں ، جو دنیا کے بہت سارے خطوں میں اگائی جاتی ہیں۔ کھجوریں حالیہ برسوں میں کافی مشہور ہوگئیں۔ مغربی ممالک میں فروخت ہونے والی تقریبا تمام کھجوریں خشک ہوجاتی ہیں۔

Kishmish Ke Fayde - Raisins Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kishmish (Raisins) Ke Fawaid: raisins benefits in urdu/hindi K ishmish khas kisam ke angoron se tayar ki jati hai. Es ki 2 kismain hain jo keh surakh aur sabz hain. Sabz kishmish (raisins) behter hoti hai. Kishmish mizaj ke aitbar se garam tar hai. Damag aur Baah ko takat puhnchati hai. Khon ko saf karti hai aur barh'hati hai. Kishmish takat bakhash aur qadre kabz kusha hai. Khansi, zukam, Damah, chichak aur khasra wagaira mein faidamand hai.

Falsa Ke Fayde - Black Currant Benefits in Urdu/Hindi

Image
Falsa (Black Currant) Ke Fawaid:  Black currant benefits in urdu/hindi F alsa barsgeer ka phal hai. Yeh mantaka hara ka phal dar poda hai. Es ki do kismain hain. Aik onche podon wali jo khudro hai aur es ka phal zayka dar nahin hota. Dosri kisam chote podon wali jiska phal chota aur gol hota hai. Aur zayke dar hota hai. Falsa (black currant) mosam sarma ka phal hai. Jo Satah samander se 3000 foot ki bulandi par kashat ho sakta hai. Es mukami zuban mein falsa shereni aur falsa shakri kaha jata hai. Sayhi mayl surakh hota hai. Es ke ajza mein folad namkiat aur vitamin C shamil hain. Falsa (Black Currant) Tibi Khawas aur Elaj: False ka mizaj kadre sard aur khushak hai. Eska istemal jisam mein saf khon peda karta hai. Hukma ke mutabik aik pou false mein aik chapati ke braber ghizaet hoti hai. Mosam teez garam ho es ki waja se dil par gabrahat horhi ho to aese mein takreeban 50 garam falsa rozana istemal kar lia jaye to es takleef se nijat mil jati hai. Es ke istema

Shahtoot Ke Fawaid - Mulberry Benefits in Urdu/Hindi

Image
Shahtoot (Mulberry) Ke Faide: Mulberry benefits in urdu/hindi S hahtoot aik mash'hoor meva hai. Yeh garam tar aur kabz kusha hota hai. Hazme ko quwat puhnchata hai aur khon peda karta hai. Payas aur garmi ko door karta hai. Shahtoot ka sharbat bukhar mein thandak deta hai aur balgam ko kharij karta hai. Shahtoot (mulberry) ka taza ras nikal kar pia jaye to wo nasirf garmi mein thandak puhnchata hai balke shiddat payas, khushak khansi aur gale dukhne ke lye bhi behad faidamand hai. Shahtoot nazla, zukam ke lye bhi mufeed hai. Pait ke keere halak karta hai.