Kela Ke Fayde - Banana Benefits in Urdu/Hindi

Kela (Banana) Khane Ke Fawaid: Banana Benefits in Urdu/Hindi K ela sard tar mizaj ka hamil phal hai. Ghizait parwari aur lazeez tareen phalon mein banana ko shumar kia jata hai. Banana ko aik munfrid hasiat hasil hai. Yahi sabeb hai keh chote bachon se le kar barhe borhon tak sab he esey barhe shook se khate hain. Kela bhi kaye kisam ka hota hai. Barsgeer pako hind ke mukhtalif makamat par peda hone wala kela apni apni alakaye nisbat yani zameen ki taseer ke lehaz se mukhtalif size aur zayde wala hota hai. Misal ke toor par ab tak hari chal ka kela tamam barsgeer mein sab se behter kela samja jata tha. Lekin ab Pakistan ka kela zayda aur taseer mein agar es se behter nahin to kesi lehaz se kamtar bhi nahin hai. Intehayee lazeez barhe size wala aur takat bakhash hota hai. Sarhad ka kela kesi kader dair hazm aur lays dar hota hai. Kolkata ki tarf jo kela paya jata hai. Wo size ke lehaz se chota hota hai. Naiz kesi kadr methas wala bhi magar yeh kela sangr'hani...