Posts

Showing posts with the label Fruit Health Benefits

Aloo Bukhara Kay Fawayd - Plum Benefits in Urdu

Image
Aloo Bukhara Kay Faiday: A loo bukhara meetha aur mazedar phal hai. Safaid aur Kala, do rangon mein hota hai. Safaid gulabi aur surukh rang ka aloo bukhara itna acha nahin hota. Kalay rang ka aur bara aloo bukhara sab sey acha hota hai. Es mein pani, khaand, vitamin C aur vitamin B hota hai. June, July aur august mein zayda tar paya jata hai. Plum Benefits in Urdu Aloo Bukhara Kay Tabi Khawas Aur Ilaaj: Aloo bukhara ka mizaj sard tar hota hai. Kabaz kusha hai. Blood pressure aur garmi ko khatam karta hai. Payas bujhata hai. Khoni-o-safravi bukharon kay liye bhi mufeed hai. Garmi ka sar dard aloo bukhara khaney se khatam hojata hai. Matli, qay aur bad hazmi kay liye aloo bukhara buhat mufeed phal hai. Imli aur khushak aloo bukhara mila kar bigoo kar rakhne sey es ka pani bukhar kay liye aur garmi kay tadarik kay liye bay had mufeed hai. Aloo bukhara khon saf karta hai. Aloo Bukhara Kab Khana Chahye: Aloo bukhara khane se pehle istemal karna behter hai. Alo

Phalon Ki Ahmiyat - Phal Ghiza Ka Aham Ansar

Image
Phal Ki Iqsam: P hal do tarah kay hotay hain. Ras daar aur gizayee phal. Ras Daar Phal: Ras daar phalon maslan Sangtara, Malta, Meetha, Lemon wagaira mein namkiyat , tezabi maaday aur shakri ajzaa bakasrat hotay hain. Jo jisam ki parvish kay leye buhat zaroori hain. Ghizayee Phal: Phalon ki ahmiyat Gizayee phalon maslan keela, saib, kharbooza, ananaas, aam aur khajor wagaira mein neshasta aur shakri ajzaa hotay hain. Phalon mein vitamins ki miqdaar zayda hoti hai aur wo zood hazam, kabaz kushaa aur takat bakhash hotay hain. En mein namkiyaat, calcium, folaad, phosphors, sodium aur magnesium wagaira hotay hain jo jisam ki parwarish kay liye buhat zaroori aur mafeed hain. Phalon Kay Fawaid: Pakay phal buhat mufeed hotay hain kuenk en mein vitamins ki miqdaar zayda hoti hai. Kachay yaa buhat pakay yaa ghalay saray phalon sey haizaa, paichash, eshaal, qay aur bad hazmi wagaira ki shikaytain peda hoti hain. Fruit benefits in Urdu Kabaz ki shikayaaat mukhtlif