Aloo Bukhara Kay Fawayd - Plum Benefits in Urdu

Aloo Bukhara Kay Faiday:

Aloo bukhara meetha aur mazedar phal hai. Safaid aur Kala, do rangon mein hota hai. Safaid gulabi aur surukh rang ka aloo bukhara itna acha nahin hota.

Kalay rang ka aur bara aloo bukhara sab sey acha hota hai. Es mein pani, khaand, vitamin C aur vitamin B hota hai. June, July aur august mein zayda tar paya jata hai.

Aloo Bukhara Kay Fawayd
Plum Benefits in Urdu

Aloo Bukhara Kay Tabi Khawas Aur Ilaaj:

  • Aloo bukhara ka mizaj sard tar hota hai.
  • Kabaz kusha hai.
  • Blood pressure aur garmi ko khatam karta hai.
  • Payas bujhata hai.
  • Khoni-o-safravi bukharon kay liye bhi mufeed hai.
  • Garmi ka sar dard aloo bukhara khaney se khatam hojata hai.
  • Matli, qay aur bad hazmi kay liye aloo bukhara buhat mufeed phal hai.
  • Imli aur khushak aloo bukhara mila kar bigoo kar rakhne sey es ka pani bukhar kay liye aur garmi kay tadarik kay liye bay had mufeed hai.
  • Aloo bukhara khon saf karta hai.

Aloo Bukhara Kab Khana Chahye:

Aloo bukhara khane se pehle istemal karna behter hai.


Aloo Bukhara Kab Nahin Khana Chahye:

Wo mareez jinhain as'haal ho wo esey hargiz na khayn. Mosam barsaat mein es ka phal nuqsaan deta hai