Phalon Ki Ahmiyat - Phal Ghiza Ka Aham Ansar

Phal Ki Iqsam:

Phal do tarah kay hotay hain. Ras daar aur gizayee phal.

Ras Daar Phal:

Ras daar phalon maslan Sangtara, Malta, Meetha, Lemon wagaira mein namkiyat , tezabi maaday aur shakri ajzaa bakasrat hotay hain. Jo jisam ki parvish kay leye buhat zaroori hain.

Ghizayee Phal:

Phalon ki ahmiyat
Phalon ki ahmiyat
Gizayee phalon maslan keela, saib, kharbooza, ananaas, aam aur khajor wagaira mein neshasta aur shakri ajzaa hotay hain. Phalon mein vitamins ki miqdaar zayda hoti hai aur wo zood hazam, kabaz kushaa aur takat bakhash hotay hain. En mein namkiyaat, calcium, folaad, phosphors, sodium aur magnesium wagaira hotay hain jo jisam ki parwarish kay liye buhat zaroori aur mafeed hain.

Phalon Kay Fawaid:

Pakay phal buhat mufeed hotay hain kuenk en mein vitamins ki miqdaar zayda hoti hai. Kachay yaa buhat pakay yaa ghalay saray phalon sey haizaa, paichash, eshaal, qay aur bad hazmi wagaira ki shikaytain peda hoti hain.

fruit benefits in urdu
Fruit benefits in Urdu
Kabaz ki shikayaaat mukhtlif amraaz ka paish kheema hoti hai aur qayaam sehat key liye es baat ki zaroorat hai keh kabaz ki shikayat peda na ho. Chunacheh es gharz kay liye phal buhat mufeed shay hai. Khaas kar anjeer, sangtara, aloo bukhara, khajoor wagaira kay istemaal sey ajabat khul kar hoti hai. Kaabiz phalon mein ras bhari, bahi, ananaas, lechi wagaira buhat mufeed hain.

Kishmish, aroo aur angoor khaney sey gurdoon ko tokiyat hasil hoti hai. Ahtraak khon kay liye bhi phalon ka estemal mufeed hai aur malta, sangtara, kharbooza tarbooz es maqsad kay liye khas toor par nafay hain.

Sangtara aik nehayt mufeed phal hai aur khon ki safaye kay liye behtreen shay hai. Es mein chokeh vitamins ka zakhaira zayda hota hai. Es liye bachon ka liye bhi yeh aik umdah phal hai.

Aam aik maqwi aur zood hazam ghiza hai. Agar raat ko bay khawabi rehti ho to aik aam kha kar uper sey thora sa doodh pee lena chahye.

Hazmein ka liye jaman ka estmal buhat mufeed hai. Jaman sey khoon saaf hota hai.

Gharz qudrat kay banaye hoye chotay chotay phal kesi barhay hakeem kay qemti maajoon sey kam nahin. En kay estmaal sey azayee hazam ko taqwiyat hasil hoti hai aur qoowat-e-hazam bharh jati hai. Taza khon peda hota hai.

Lemon aik buhat aam chez hai. Paani mein lemon ka ras mila kar peney sey maydaah saf rehta hai. bhok khoob lagti hai. Mosmi bukhar kay liye bhi lemon buhat mufeed hai. Ilawa bareen lemon kay estemal sey chehray ka rang nikhrta hai. Sehat achi rehti hai.