Posts

Lychee Ke Fawaid - Litchi Benefits in Urdu

Image
Lychee (Litchi) Khane Ke Fawaid: Litchi benefits in urdu hindi L ychee sard tar mizaj rakhne wala khush zayka phal hai. Kam hujam wale, Khobsorat aur lateef asar rakhne wale phalon mein shumar hota hai. Dekhne mein to yeh phal aik mamoli sa phal dekhaye deta hai lekin zayke ke aitbar se apni misal ap hai. Lychee ko thori thori mikdar mein khana chahye. Related Video: What Happens In Your Body If You Eat Lychee Fruit Daily Lychee ki bari khobi yeh hai keh yeh khon ki mikdar mein izafa karti hai. Es ke ilawa payas ko bhi bujati hai. Dil aur damag ko mazboot tar karti hai. Lychee ko kabi kabar khana he behter hai kuen ke yeh dair se hazm hoti hai. Note: Es ka rozana istemal kesi tarah bhi munasib nahin hai. Related Video: Lychee Ke Fawaid Lychee Ke Faide Lychee Health Benefits In Urdu

Ganne Ke Ras Ke Fayde - Sugar Cane Juice Benefits in Urdu/Hindi

Image
Ganne (Sugar Cane) Ke Ras Ke Fawaid:  Sugar Cane Juice Benefits in Urdu/Hindi G anne ke ras ko yarkan ke marz mein buhat zayda ahmiat hasil hai. Pait mein aphara, kabz, gaz yahan tak ke zakham maida ki shikayat mein bhi ganne ka ras pene se buhat mufeed result hasil hote hain. Es ke sath sath garmi ke asrat ka shikar aur pathri ke mareezo ke lye bhi tibi mahreen ne ganne ke ras ko mufeed bataya hai. Jab buhat zayda dhoop jisam par parh rahi ho ya yarkan buhat shidat ke sath ho gya ho to sugar cane juice skon bakhashne aur marz se nijat dene ke sath sath mareez ki barhti hoe kamzori ko door karta aur quwat bakhashta hai. Kuenke es mein calcium aur folad ki kafi zayda mikdar hone ke ilawa phosphorus bhi hota hai. Esi waja se yarkan ke mareezon ko batore khas ganne ka ras pene ka mashwara dea jata hai. Mahreen ke tujrabe ke mutabik ganne ko rat ke waqt kesi khuli jaga par rakh dein aur subha nehar munh es ka ras peene se chand din mein yarkan mein afaka hojata hai. Yark

Kela Ke Fayde - Banana Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kela (Banana) Khane Ke Fawaid: Banana Benefits in Urdu/Hindi K ela sard tar mizaj ka hamil phal hai. Ghizait parwari aur lazeez tareen phalon mein banana ko shumar kia jata hai. Banana ko aik munfrid hasiat hasil hai. Yahi sabeb hai keh chote bachon se le kar barhe borhon tak sab he esey barhe shook se khate hain. Kela bhi kaye kisam ka hota hai. Barsgeer pako hind ke mukhtalif makamat par peda hone wala kela apni apni alakaye nisbat yani zameen ki taseer ke lehaz se mukhtalif size aur zayde wala hota hai. Misal ke toor par ab tak hari chal ka kela tamam barsgeer mein sab se behter kela samja jata tha. Lekin ab Pakistan ka kela zayda aur taseer mein agar es se behter nahin to kesi lehaz se kamtar bhi nahin hai. Intehayee lazeez barhe size wala aur takat bakhash hota hai. Sarhad ka kela kesi kader dair hazm aur lays dar hota hai. Kolkata ki tarf jo kela paya jata hai. Wo size ke lehaz se chota hota hai. Naiz kesi kadr methas wala bhi magar yeh kela sangr'hani

Kheera Ke Fayde - Cucumber Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kheera (Cucumber) Khane Ke Fawaid: Cucumber Benefits in Urdu/Hindi K heera (cucumber) bhi kakdi ki kism ka sard tar phal hai. Cucumber kabz kusha aur garmi ke buhat se amraz mein mufeed hai. Payas, yarkan, peshab ki jaln, peshab ka ruk ruk kar ana wagaira shikayat door karta hai. Es ko cheel kar aur kali mirch, namk mila kar khana chahye. Aik adh kheere se zayda mat khayn. Es ke baad pani peene se haize ka khatra hai. Kheere ka barta bhi mufeed hai.

Chohara Ke Fayde - Dry Dates Benefits in Urdu/Hindi

Image
Chohara (Dry Dates) Ke Fawaid: Dry Dates Benefits in Urdu/Hindi C hohara aik achi kisam ki khajoor, Dodh ki lassi kadre ghee mein ubal kar tayar kea jata hai. Es ki tabiat garam khushak hai. Chohara badan ko mota karta hai. Saaf khon peda karta hai. Phephre aur seene ko takat ata karta hai. Sardi, badi aur balgam ke amraz mein soodmand hai. Adrangh, lakwa, pathri aur peeth ke dard ko door karta hai. Baah ke lye faida mand hai. 2, 3 chohare dodh mein ubal kar istemal karne se takat barhti aur kami baah door ho kar quwate mardi mein izafa karti hai. Chonke garmi peda karta hai es lye aik sath 5, 6 se zayda nahin khani chahyn.

Khajoor Ke Faide - Benefits of dates in Urdu(Khajoor)(کھجور ):

Image
Benefits of dates in Urdu کھجوریں کھجور (khajoor)  کے درخت کا پھل ہیں ، جو دنیا کے بہت سارے خطوں میں اگائی جاتی ہیں۔ کھجوریں حالیہ برسوں میں کافی مشہور ہوگئیں۔ مغربی ممالک میں فروخت ہونے والی تقریبا تمام کھجوریں خشک ہوجاتی ہیں۔

Kishmish Ke Fayde - Raisins Benefits in Urdu/Hindi

Image
Kishmish (Raisins) Ke Fawaid: raisins benefits in urdu/hindi K ishmish khas kisam ke angoron se tayar ki jati hai. Es ki 2 kismain hain jo keh surakh aur sabz hain. Sabz kishmish (raisins) behter hoti hai. Kishmish mizaj ke aitbar se garam tar hai. Damag aur Baah ko takat puhnchati hai. Khon ko saf karti hai aur barh'hati hai. Kishmish takat bakhash aur qadre kabz kusha hai. Khansi, zukam, Damah, chichak aur khasra wagaira mein faidamand hai.

Falsa Ke Fayde - Black Currant Benefits in Urdu/Hindi

Image
Falsa (Black Currant) Ke Fawaid:  Black currant benefits in urdu/hindi F alsa barsgeer ka phal hai. Yeh mantaka hara ka phal dar poda hai. Es ki do kismain hain. Aik onche podon wali jo khudro hai aur es ka phal zayka dar nahin hota. Dosri kisam chote podon wali jiska phal chota aur gol hota hai. Aur zayke dar hota hai. Falsa (black currant) mosam sarma ka phal hai. Jo Satah samander se 3000 foot ki bulandi par kashat ho sakta hai. Es mukami zuban mein falsa shereni aur falsa shakri kaha jata hai. Sayhi mayl surakh hota hai. Es ke ajza mein folad namkiat aur vitamin C shamil hain. Falsa (Black Currant) Tibi Khawas aur Elaj: False ka mizaj kadre sard aur khushak hai. Eska istemal jisam mein saf khon peda karta hai. Hukma ke mutabik aik pou false mein aik chapati ke braber ghizaet hoti hai. Mosam teez garam ho es ki waja se dil par gabrahat horhi ho to aese mein takreeban 50 garam falsa rozana istemal kar lia jaye to es takleef se nijat mil jati hai. Es ke istema

Shahtoot Ke Fawaid - Mulberry Benefits in Urdu/Hindi

Image
Shahtoot (Mulberry) Ke Faide: Mulberry benefits in urdu/hindi S hahtoot aik mash'hoor meva hai. Yeh garam tar aur kabz kusha hota hai. Hazme ko quwat puhnchata hai aur khon peda karta hai. Payas aur garmi ko door karta hai. Shahtoot ka sharbat bukhar mein thandak deta hai aur balgam ko kharij karta hai. Shahtoot (mulberry) ka taza ras nikal kar pia jaye to wo nasirf garmi mein thandak puhnchata hai balke shiddat payas, khushak khansi aur gale dukhne ke lye bhi behad faidamand hai. Shahtoot nazla, zukam ke lye bhi mufeed hai. Pait ke keere halak karta hai.

Shaker Qandi Ke Fawaid - Sweet Potato Benefits in Urdu/Hindi

Image
Shaker Qandi (Sweet Potato) Ke Fawaid Sweet Potato Benefits in Urdu/Hindi S haker qandi garam tar aur kabiz hai. Es mein neshasta ki mikdar sab ajza se zayda hoti hai. Es lye mehnat mazdori karne walon ke lye takat bakhash ghiza hai. Phephre ko takat deti hai aur jisam ko mazboot banati hai. Dair se hazim hoti hai. Kamzoor maide wale hazrat es ko khane se gureeze karain. Es ke khane ke baad thori c sonf chabaa lena faida mand hai.

Sharifa Ke Fayde - Custard Apple Benefits in Urdu Hindi

Image
Sharifa (Custard Apple) Ke Fawaid: Custard Apple Benefits in Urdu Hindi S harifa aik garam tar phal hai. Dil aur damag ko takat bakhshta hai aur manny ko garha karta hai.

Singhara Ke Fayde - Water Chestnut Benefits in Urdu/Hindi

Image
Singhara (Water Chestnut) Ke Fawaid:  Water Chestnut benefits in urdu hindi K hushak singhara sard khushak aur taza singhara sard tar mizaj ka hamil hai. Singhara mosam sarma ki aik ajeeb asar aur buhat c sifaat wali nimat hai aur buhat zayda ghizaye safaat ka hamil hai. Maide ke sath jisam ke baz dosre makhsoos azaa ko bhi takwiat deta hai. Es ke makhsoos aur numayan toor par tibi khobian darj zail hain. Singhara Ke Tibi Khawas: Munh se khon ka ana band karta hai. Dil ki jaln ko door karta hai. Jaryan ke mareezon ke lye aik intehaye mufeed cheez hai. Sokha howa singhara daad ke uper lagane se khaterkhah faida puhnchata hai. Jin logon ko halq ki khushki ki shekayt hoti hai en ke lye buhat khas cheez hai. Payas ki shidat ko rokne mein jado asar hai. Badan ko makool had tak mota sehat mand karta hai. Gharm mizaj walon ki quwat baah ko mazboot karta hai aur es mein khaterkhah izafa karta hai. Madaye toleed mein izafa karne ke sath sath esey gharha bhi karta hai. J

Kino ya Malta Ke Fayde - Orange Benefits in Urdu/Hindi

Image
Keno Ya Malta Ke Fawaid: orange benefits in urdu hindi K ino ya malta qudrat ke umda tahayf mein se aik hai. Yeh ras dar aur tursh phalon mein buhat ahmiat ka hamil hai. Keno mukhtlif tareekon se pori dunia mein istemal kea jata hai. Umooman log esey khane ke bad istemal karte hain. Es ke ilawa Keno ya malta ke sharbat, squish, jam aur murabbe wagaira bhi milte hain. Malta ka asal watan junobi cheen hai. Esey ibtada mein junobi hindostan mein mutarif karaya gya. Mahreen ke tajzeye ke mutabik malta mein protein nahin hota lekin aik keno mein aik roti ke brabar takat hoti hai. Ye phal jitne meethe hote hain, itni he en mein ghizait paye jati hai. Adha kilo malte mein 189 calories hoti hain. Kehte hain keh adhe keno mein itni he takat hoti hai. Jitni 400 garam dodh mein hoti hai. Malta mein namkiat khasosan chona aur loha buhat hota hai jo khon ban'ne ke lye buhat zaroori hai. Es mein vitamin A,B aur C ki kafi bari mikdar paye jati hai. Malta mein ye khasosi